Rules of Bait Bazi:
Shair should be genuine and not your own.
— > Post your own in Bait Bazi — Personal Edition of Sho’ra-e-Gupshup.
Dont break the chain and always follow the last letter of the last posted shair.
Always mention the last urdu alphabet of your shair.
If you know the name of the poet, mention that (for other’s knowledge sake).
Do not write out the whole ghazal/nazam; only two shairs (i.e. Rubai, qita) at max will be allowed.
Last shair was posted by Zawanfira
Yaadon se rishta kal bhi thaa yaadoon se rishta aaj bhi hai
Dil kal bhi apna dukhta thaa aur afsurda sa aaj bhi hai
Yey
Sheal
July 1, 2010, 11:34pm
2
Yay mohobatooN kay sahil, yay rafaqatooN kay dariya
Koi harj to nahi hai , inhain jis qader saraho
Mager apni chahatooN say mujhay dar sa lag raha hai
Keh bichar na jaoo tum bhi, mujhay is qader na chahoo
"Wao"
Re: Bait Baazi Month Of July 2010
wo bhi kya log thay jo mil k ek bar
ankhon main jazb ho gaye dil main sama gayee....
Re: Bait Baazi Month Of July 2010
Yeh Sharab Rez Hasi Ghata Jo Hai “Kaif” Nazish-E-Maykada
Kisi Tashna-Kaam Ki Arzoo Kisi Tashna-Lab Ki Dua Na Ho
**wow**
Re: Bait Baazi Month Of July 2010
Woh tera hijar ki shab phone rakhne se zara pehlay
Bahut rote huwe kehna 'Muhabbat Mar Nahe Sakti' ...
"Ye"
Sheal
July 2, 2010, 2:41pm
6
Yay Khuda ki dain ajeeb hai keh usi ka naam naseeb hai
Jisay tu nay chaha wo mil gaya, jisay main nay chaha wo mila nahi
" Noon "
Re: Bait Baazi Month Of July 2010
Nahe mujh ko shikayat ab kisi se
Bas apne aap se rootha huwa hoon
Bazaahir khush hoon lekin ek sach bataun
Mein ander se bahut toota huwa hoon ...
"Noon"
Re: Bait Baazi Month Of July 2010
Nahi masroof may itna k wahan ka rasta bhuloon
Koi jab muntazir he na ho to jana acha nahi lagta....
Alif
Re: Bait Baazi Month Of July 2010
In rishtoon ki nazakut ko tum kya jaano
Narm lafzoon se bhi lag jaati hain chootain aksar ...
"Ray"
Sheal
July 2, 2010, 9:35pm
10
Raat kay sath sath barhta gaya in charagooN pay aitebar mera
Waqt itna kahaN tha waqt k paas, werna kerta wo intezar mera
"alif"
Re: Bait Baazi Month Of July 2010
Ay kaash baras jaye yahaan noor ki baarish
Emaan ke sheeshon per bari gard jami hai ...
"Ye"
** Ye chaand sitaray mujhe karty hain nasehat**
** raton ko phira kartay ho , so kiun nahi jatay**
** "yeh"**
Re: Bait Baazi Month Of July 2010
Yun tau hum donoo mein hain kitnay zamaanay haayal
Tum bulaatay ho tu lamhay mein pallat aata hoon ...
"Noon"
Na sawal ban kay mila karo na jawab ban kay mila karo
Meri Zindgi mery khwab hain mujy khwab bn ky mila karo
Mujy achay log bht mily, main to un ky qarz main db gya
Agar ho sakay to kabhi kabhi kharab ban kay mila karo
wow
Re: Bait Baazi Month Of July 2010
Wafa ki ek khwahish thee wafa ke silay mein
Kaun hai jo muhabbat ka sila maangta nahe
Jeene ki tallab mein martay hain baar baar
Kuch logoon ka muqaddar kabhi jaagta nahe ...
"Noon"
na hai dosti kisi din sai ab na hai dushmani kisi raat sai..
ha bacha he kia jo wo la gia mujha cheen kr mairi zat sai
"YEH"
Sheal
July 5, 2010, 8:18pm
17
Yay jabr marg-e-musalsal hi zindgi hai munir
JahaN main is pay kabhi ikhtiyar kis ka tha
" Alif "
Re: Bait Baazi Month Of July 2010
Ejaazat ho tere chehray ko jee bhar ke dekhun
Muddat huwi in aankhoon ne koi 'apna' nahe dekha ...
"Alif"
Re: Bait Baazi Month Of July 2010
Aa k lay jaaye meri aankh ka pani mujh say..
Kyun Hassad kartee hay darya ki ravani mujh say?
Goshat naakhun Say alag kar kay dikhadiay MAy nay
*Us nay puchay thay Judaaee k maani mujh ay... *
"Yeh"
*ye warq warq teri daastan, ye sabaq sabaq teray tazkiray
mai karon to kesay karon alag tujahy zindagi ki kitaab se *
"yeh"