Bait Baazi Month Of July 2010

yehi hai aazmana tu sataana kis ko kehtey hain??
raqeeb ke ho lye jb tm,tu mera imtehaan kyun ho

"wow"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010


Wafa ke waaday woh saaray bhula gaya chup chaap
Woh mere dil ki deewarain hilla gaya chup chaap ...

"Pay"

pahle se maraasim na sahii phir bhii kabhii to
rasm-o-rahe duniyaa hii niibhaane ke liye aa

"alif"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010


Ek na-tamaam khwaab mukammal na hosaka
Aanay ko zindagi mein kaee inquilaab aaye ...

"Ye"

Yad awon tu bas itni se anayat karna,
Apny badly huay lehjay ki wazahat karna.
Tum tu chahat ka shahkar howa karty thy,
Kis se seeka ha ye olfat mai melawat karna

"alif"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010


Aaj bahut din baad suni hai baarish ki awaaz
Aaj bahut din baad kisi manzar ne rasta roka hai
Rimjhim ka malboos pehan kar yaad kisi ki aae hai
Aaj bahut din baad achanak aankh yunhi bhar aee hai ...

"Ye"

Yeh haqeeqat hay jaahan toot ker chaha ja'ay
Wahan bicharny k bhi imkaan huwa kerty hain

"noon"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010


Naqsh-e-khayaal dil se miataya nahe hanoz
Bedard mein ne tujh ko bhulaaya nahe hanoz ...

"Zaal (Zee)"

ZIKAR JAB HO GA MUHABBAT MEIN TABAHI KI KAHIEN
YAD HUM AAIEN GE DUNIYA KO HAWALON KI TARAH

"hey"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010


Hum sar-e-chaak-e-wafa hain aur tera dast-e-hunnar
Jo bana dega humein ay yaar ban jayenge hum ...

"Meem"

Main tujy dhondny Yadoon ki khuli serkon per
khushk paton ki terha rooz bikhar jata hoon

"noon"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010


Na jaanay aaj yeh kis ka khayal aaya hai
Khushi ka rang leye har malaal aaya hai ...

"Ye"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

MISS MD

Meanwhile, I forgot to congratulate you on your 100 posts …
You made it really very quick … in exactly 13 days … :k:

Keep sharing the good poetries …

thanks....hmmm....dats gud...im quick...

:)

Ye naqsh-e-paa nahin,tehreer hai muqadar ki
Abhi gaya hai koi khakh mein mila k mujhey....

"yeh"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Muhabat ka dhuwan ankhoon may pani choor jata hay
kisi rastay say gham guzray nishani chor jata hay...


"yeh"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010


Yeh likha thaa mere haath ki lakeeroon mein
Mein agar pyar karunga tau bikhar jaunga ...

"Alif"

ab naza'ah ka aalim tari ha,tm apni muhabat wapis lo
jb kashtii dobney lagtii ha tu bhooj utara kartey hain

"noon"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010


Na jaane kyon ussay dil meharbaan samajhta hai
Woh dost hai tu bas itna ke ajnabi kam hai...

"Ye"

Yaad bhi ab ke aya or jaag uthi ai khawahish bhi
Taza dukh or sard hawa hai sal ki pehli baarish bhi

"yeh"