Yay such ha ky mera qatil bhe wohi tha
sary shahr ma tareef kay qabil b wohi tha
kahta tha apna hon apno ma raho ga…
bani jo saf e ghair to sb se agay wohi tha
“alif”
Yay such ha ky mera qatil bhe wohi tha
sary shahr ma tareef kay qabil b wohi tha
kahta tha apna hon apno ma raho ga…
bani jo saf e ghair to sb se agay wohi tha
“alif”
Re: Bait Baazi Month Of July 2010
*Itna acha tau na thaa naam hamaara lekin Hum tere haath pe tehreer huwa kartay thay ...*And again … “Ye”
ye kahan ki dosti hay keh banay hain dost naseh
koi charah saz hota koi gham ghusaar hota…
“alif”
Issay kehtay hain lafz “Ye” ka sar per sawaar hona ![]()
Its “Alif” ![]()
Re: Bait Baazi Month Of July 2010
*Ek din ki baat ho tau ussay bhool jayain hum Naazil hon roz dil pe balaayain tau kya karain ...*“Noon”
![]()
Na janay kon sa aansoo kisi se kiya keh de..
hum is khayal se nazren jhukaye bethay hain
“noon”
Re: Bait Baazi Month Of July 2010
*Nahee ab tu koi malaal bhi, kisi wapsi ka khayal bhi Dil-e-bekasi ne mita diya mere dil mein thaa bhi agar koi ...*“Ye”
yaad rahe ga yeh daur-e-hayaat bhi hamein
keh zindagi mein hi tarse hain zindagi key liye
“yeh”
Re: Bait Baazi Month Of July 2010
*Ya Rab is ikhtilaat ka anjaam ho bakhair Thaa us ko hum se rabt magar is qadar kahaan ...*“Noon”
Na janay kiya baat hai koe khafa baitha hai
Mujh ma ek shkhs bghawt py tula baitha hai
wo parinda jisay parwaaz say fursat na thi
Aaaj tanha hai to deevar py aa baitha hai
“yeh”
Re: Bait Baazi Month Of July 2010
*Yehi nahe ke humein toor kar gaya hai koi Ussay bhi khud ko bahut dair jorna hoga ...*“Alif”
Aaghaz to hota hai anjaam nahin hota
jab meri kahani mein woh naam nahin hota
bhty hue aansu ny ankhon sy kaha tham kr
jo mai sey pighal jaey woh jaam nahin hota
“alif”
Re: Bait Baazi Month Of July 2010
*Agar chup chaap tum dekho tau dam araam se niklay Idhar hum hichki letay hain udhar tum ronay lagtay ho ...*“Wao”
wohi qaafile wohi raastey wohi zindagi* wo*hi marhaley
mgr apne apne muqam pr kbhi tm nahin kbhi hm nahin
“noon”
Re: Bait Baazi Month Of July 2010
**na wo Farishta ho na Fraishtay k jaysa ho **
Mjhay talash hay uske jo mere jaysa ho
Mere khulos ko pehchanta ho bas kafi hay
Ek aysa hamsafar jo samander ke tarha gehra ho.
“Wo”
woh mil gaya hai to kiya qisa-e-faraq kahain..
khushi ky lamhon ko yuon ba-maza nahi kerty
“yeh”
Re: Bait Baazi Month Of July 2010
Yeh sama’atton pe jo shor hai yeh hawa-e-waqt ka zoar hai
Yeh mere hi dil ka yeh chor hai jo chupa hai meri ghaat mein …
“Noon”
Nasha-e-lazat-e gunah kay baad
Baraa mushkil hai parsaa honaa..
“alif”
Re: Bait Baazi Month Of July 2010
*Ab ke rutt badli tau khushbo ka safar dekheyga kaun Zakhm phoolon ki tarah mehkenge per dekheyga kaun ...*“Noon”
Nakhuda dur, hawa tez,karain kam-e-nayhang
Waqt hay phenk dy lehron main safeena apna
“alif”