Bait Baazi Month Of July 2010

Hai yay bhi sach kay teray samnay barsooN
Koi rafeeq, koi kaam bhi na yaad aaya
Per jhoot yay bhi nahi hai tujhay jo daikha kal
To kitni dair tera naam bhi na yaad aaya

" Alif "

Uth kar chala gaya koi wakfay kay darmiaan
Parda utha to saara tamaasha badal gaya
Hairat say saaray lafz usay dekhtay rahay
Baaton main apni baat ko kaisay badal gaya

"alif"

Aana ki qaid say niklay muqabla to karay
Wo mera sath nibhanay ka hosla to karay
Kabhi na tootnay wala hisaar ban jaooN
Wo meri zaat main rehnay ka faisla to karay

" Yay "

Ye shikastagi meri zaat ki mujhey apni hi Zindagisey hey mili
isey dushmani jab mujh hi sey hey to kis tarhan meiN jiyun isey
abhi tou guzri thi ye bahaar mujhey dey ke dard be shumaar
mera har zakhm hey abhi hara meiN phir sey kesey milon isey

"yeh"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010


Yaad-e-muhabbat se zinda hoon Khudaya warna
Kaun jeeta hai teri duniya mein tamaasha ban kar ...

"Ray"

RutooN ka qaida hai waqt per yay aati jati haiN
Hamaray shehr maiN kuen ruk gaya faryaad ka mousam

"Meem"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010


Muqaddar mein likhi koi baat ho tum
Taqdeer ki ek saugaat ho tum
Thaam ke hath tumhara mehsoos yeh huwa
Sadeyoon se yunhi mere sath ho tum ...

"Meem"

Mere saath chalney k shauk mai barhi dhoop ko tu uthhayega....
Tera naak naqsha hai mom ka, kahen gham ki dhoop ghula na de

"yeh"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010


Yeh kis muqaam pe pohancha diya zamanay ne
Ke ab hayaat pe tera bhi ikhteyaar nahe ...

"Noon"

Na sawal-e-wasl na arz-e-gham na hikayatein na shikayatein,
Tere ahd mein dil-e-zaar ke sabhi akhteyaar chale gaye.....! !

Re: Bait Baazi Month Of July 2010


Yeh kaun log andheron ki baat kartay hain
Abhi tu chaand teri yaad ke dhallay bhi nahe ...

"Noon"

Na dushmani ka fasana na dosti ki sada
Mera hai apna jahaN k maiN aazad hoon

" Noon "

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Na mila kar udas logon say
husn taira bikhar na jaay kahin

nuun

Na kaha kro hr baar k hm chhorr dein gy tum ko
Na hm itnay aam hain, na ye tere bs ki baat hy

"yeh"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010


Yak lakht gira hai tau jarrain tak nikal aaee
Jis pair ko aandhi mein bhi hiltay nahe dekha ...

"Alif"

Awaaz mein thehrao tha ankhon mein namii thi
aur keh raha tha main ne to sab kuch bhula dia

"alif"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010


Aitbar dil e aawara nahi hai mujhko
Uski dharkan me bhala kaise basa doon tujh ko...

"Wao"

wo tu khushbo ha hawaon mein bikhar jaye gi
masala phool ka hai phool kidher jaye ga.....??

"alif"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Ajeeb hotay hain adaab-e-rukhsati-e-mehfil
Ke uth ke woh bhi chala jis ka koi ghar na thaa ...

"Alif"

AYE HO ABHI OR YEA KEHTAY HO KE JAON
MANA KE HAMESHAH NAHI, ACHA KOI DIN OR

"RAY"