Bait Baazi Month Of July 2010

Re: Bait Baazi Month Of July 2010


Raaz-e-muhabbat kehnay walay log tu laakhoo miltay hain
Raaz-e-muhabbat rakhnay wala hum sa dekha ho tau kaho ...

"Wao"

Wo mujh say itne muhabat jatanay lagta hay
Kabhi kabhi to mjhay khoaf anay lagta hy
Har Hurf pay karta hay guftagu mujh say
Bas wafa pay aa k Daman bachanay lagta hay...


"Yeh"

Yah Khud Aziyati Kab Tk Faraz To Bhe Ussy
Na Yaad Kar Kah Jissy Bholny Ke Aadat Hay

"yeh"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

yeh bhe ik hadsa hay mere Zindagi kay sath **
**May hun kesi k sath mera dil kesi kay sath...


"Hay"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

hathon ki lakirain bhe kabhe mit' te hain faraz

kitna pagal hai maira naam mitanay waala

Alif

ikhlaas ki jageer ko hum ahle-e-muhabbat..
taqseen tu kar dete hain beacha nahi kartee

"yeh"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Yeh dukh nahee ke andhairoon se sulhaa ki hum ne
Malaal tu yeh hai ke ab subha ki talab bhi nahee ...

"Noon"

Nakhuda se kya pochein, Nakhuda ko kya maloom
Doobtay safeenon ko paaniyon nay dekha hay ...

"yeh"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010


Yaad-e-Khuda mein jab na gae dil se us ki yaad
Aagay Khuda ka naam hai nasih Khuda ke baad ...

"Daal"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

beautiful mashallah from all

dard say maira daaman bhar day ya ALLAH
phir chahay diwana kar day ya ALLAH

suraj si aik chez to ham sab daikh chukay
Sach much ki koi subha kar day ya ALLAH

HAY

Re: Bait Baazi Month Of July 2010


Hazaar chehron mein hai teri sohbattai milli mujh ko
Per dil ki marzi hai agar tu nahe tu tujh sa bhi nahe ...

"Noon"

Naamaa gaya koye na koyee naamabr gaya
terii Khabar na aayee zamaanaa guzar gaya

"alif"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Aankhon mein chubh gaeen teri yaadoon ki kircheyaan
Kaandhon pe gham ki shaal hai aur chaand raat hai
Phir titleyaan si urrnay lageen dasht-e-khwaab mein
Phir khwahish-e-wisaal hai aur chaand raat hai ...

"Ye"

Ye umar bhar ki musafat ha dil bara rakhna
kae loog miltey bichrtey raheinge rasty mei

"yeh"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Yeh dukh nahe ke andheron se sulah ki hum ne
Malaal yeh hai ke ab subha ki tallab bhi nahe ...

"Noon"

Nahi tha zor us ki sitam nawaziyon ka mgr
mujhe hoslay bhi mere Khuda se milay...
meri anaa kion kehti hai baar baar mujhe
woh mohabbat he kaisi jo iltaja se milay

"yeh"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Yeh jo raat din ka hai khail sa, ussay dekh us pe yaqeen na kar
Nahe aks koi bhi mustaqil, sar-e-aaena, ussay bhool jaa ...

"Alif"

Aanso mere tham jaye to phir shoq se jana
aise me kaha jaaoge barsaat bouhat hai...

"yeh"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010


Yun toot kar chaahat mein hum ne har baar ussay kuch gul deye
Har baat ussi shaks ne kaantoon ke rehguzaar deye
Haal-e-dil ab sunaun kya qismat ne yehi din deye
Daulat, shohrat har cheez magar kya haasil ke tere bin deye...

"Ye"

Yaadon ky haashaey bh boht aham hain mohsin
deemaak lagii kitaab ko aahista khoolyay....!!!!

"yeh"