Bait Baazi Month Of July 2010

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

yeh jo shafaf sa ek aks us jheel may tha
koi Chehra tha par chand ke tamseel may tha
YAd karta hun kahan choor k aya hun usay
Aisa he aks mere soch ke zambeel may tha


"Alif"

Yeh jo shafaf sa ik aks us jheel may tha
koi chahra tha magar chand ke tamseel may tha
Yad karta hun kahan bhool k aya hun usay
Aysa hi aks mere soch ke zambeel may tha

us ki muthi ma bht rooz raha mera wajood
merey sahir se kaho ab mujhe azad karey

"yeh"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010


Yeh mera weham sahi phir bhi yun na ho ke kaheen
Mujhe na paa ke woh khud ko sazaayain deta ho ...

"Wao"

wo teray naseeb ki barishain kisi or chat pay baras gayeen
dil-e-bay khaber meri bat sun, usay bhool ja usay bhool ja

" Alif "

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Aap ko bhool jaayain hum itne tu bewafa nahe
Aap se kya gilla karain aap se kuch gilla nahe
Jurm hai gar wafa tau kya kyon mein wafa ko choor don
Kehtay hain is gunaah ki hoti koi saza nahe ...

"Noon"

Najanay kon si manzil ki simt hum haiN rawaaN
Ghari to kia k yahan pal ka itebaar nahiN
Kisi ko toot ker chahaiN kay chah ker tootaiN
Hamaray pass to itna bhi itebar nahiN

" Noon "

Re: Bait Baazi Month Of July 2010


Na jaane kaun sa aasaib basta hai dil-e-veeran mein
Ke jo bhi thehra khaali makaan chor gaya ...

"Alif"

Ajaa k abhi zabt ka mausam nhe guzra
ajaa k paharoon pe abhi barf jami hai
khusbo k jazeron se sitaron ki hadon tk
is shehr main sb kuch hai fqat teri kami hai...!!

"yeh"

Yay dukh nahi k andhairooN say sulah ki hum nay
Malal yay hai keh ab sulah ki talab bhi nahiN

" Noon "

Re: Bait Baazi Month Of July 2010


Na khoobeyaan meri hain na mera koi kamaal hai
Daita wohi Kareem wohi Jal-e-jalaal hai
Kuch apne dam per loon tu chin jaanay ka dar bhi ho
Us ke deye ko cheen le koi kis ki yeh majaal hai ...

"Ye"

Ye kya ke ek taur se guzre tamaam umr
Jee chahta hai ab koi tere siva bhi ho...

"wow"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Woh jo meri chaahaton ka sawaal tha
Woh hi meri muhabbat ka zawaal thaa
Wakt-r-ukhsat pur-nam aankhoon se
Us ka yun muskuraana bhi kamaal thaa ...

"Alif"

Woh mila to sadion k bad b meray lab pe koe gila na tha
Osay meri chup nai rula dia jisay guftgu main kamal tha

"alf"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Apne leye tau bas aik muhabbat hi kaafi hai
Hum koi bhi galti ho dobaara nahe kartay
Jab tak woh salaamat hai adaawat ka maza hai
Dushman ko kabhi jaan se maara nahe kartay ...

"Ye"

Yay maiN bhi kia hoon, usay bhool ker usi ka raha
Keh jis kay sath na tha, hum safer usi ka raha
Hazaar charahgarooN nay hazaar bataiN keeN
Kaha jo dil nay sukhan motber usi ka raha

" alif "

Ay kaash baras jaye yahaan noor ki baarish
Emaan ke sheeshon per bari gard jami hai ...

"yeh"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Yun apne deewane ke bure haal pe mat ro
Pehle hi tere ishq mein bahut badnaam hai ...

"Ye"

Yun ghalat to nahi chahron ka ta'sur b magar
Loog wesay b nahi jesay nazar aatay hain....

"noon"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Na Jaaye Vaa'n Banay Hai Na Bin Jaaye Chain Hai Kyaa Kiijiye Hamein To Hai Mushkil Sabhii Tarah **Hay**