Re: Bait Baazi Month Of July 2010
Nahe nahe mujhe ab teri tamanna bhi nahe
Tujhe bhi bhool gaye hum teri khushi ke leye ...
"Ye"
Re: Bait Baazi Month Of July 2010
Nahe nahe mujhe ab teri tamanna bhi nahe
Tujhe bhi bhool gaye hum teri khushi ke leye ...
"Ye"
Re: Bait Baazi Month Of July 2010
Yeh aur bat keh Jazboon ka ezhar ham nay na keya
Warna chaha hay ham nay tuhmain dewangi ki had tak
"kaf"
Re: Bait Baazi Month Of July 2010
Khwab agr tumsa ho to ye khwab na tute.
Dost agr tumsa ho to ye saath na chhute.
Dilon ki dor se bandhe hain rishtey
dekhna dil se dil ke taar na tute >>-
ye
Re: Bait Baazi Month Of July 2010
Yehi alag keh tum ko nahe maloom magar
Hum tau woh hain jo har ek din mein basay rehtay hain ...
"Noon"
Re: Bait Baazi Month Of July 2010
Nahi aati yaad aun ki to maheenon tak nahi aati
Magar jab yaad aatay hain to aksar yaad aatay hain
"noon"
Re: Bait Baazi Month Of July 2010
Na woh raasta na woh manzilain na woh rakht-e-safar-e-shaam hai
Jo bikhar gaya mera khwaab thaa jo mehak utha tera naam hai ...
"Ye"
Re: Bait Baazi Month Of July 2010
yeh ajnabi si manzlein aur raftgaan ki yaad
tanhaiyon ka zehar hai aur ham hain dosto
"wow"
Re: Bait Baazi Month Of July 2010
Woh ujalay ka koi sail-e-rawaan thaa kya thaa
Meri aankhoon mein hai ek saa'att-e-deedar ab tak ...
"Kaaf"
Re: Bait Baazi Month Of July 2010
koe hath bh na milaye ga ju galey millo ge tapaak sey
yeh naye mizaj ka shehr ha,yahan fasley se milla karo
"wow"
Re: Bait Baazi Month Of July 2010
Woh gul-farosh kahaan ab gulaab kis se loon
Nahe raha mera saaqi sharaab kis se loon
Teri talaash mein us umer-e-mustu'aar ke saal
Jo rayegaan gaye un ka hisaab kis se loon ...
"Noon"
Re: Bait Baazi Month Of July 2010
Nehin hai na umeed Iqbal apni kisht e weeraN se
Zara nam ho to yeh matti baRi zarkhez hai saaqi
"yeh"
Re: Bait Baazi Month Of July 2010
Yeh kaafi hai ke hum dushman nahe hain
Wafa daari ka daawa aakhir kyun karain hum ...
"Meem"
Re: Bait Baazi Month Of July 2010
meray charah gr ko naved ho saf-e-dushmana ko khabr kro
jo hisaab rakhtay thay jaan per woh hisaab aaj chuka dia..
"alif"
Re: Bait Baazi Month Of July 2010
Aksar woh bhatak'ta huwa raastay mein mila
Manzil pe pohanchne ka jissay pukhta yaqeen thaa ...
"Alif"
Re: Bait Baazi Month Of July 2010
ik umr tak mein uski zaruurat bana raha,
phir yun hua ki uski zaruurat badal gayi.
"yeh"
Re: Bait Baazi Month Of July 2010
Yeh aur baat ke bhar aaye ashk aankhon mein
Tumhare gham ki qasam rooh sougwaar nahe ...
"Noon"
Re: Bait Baazi Month Of July 2010
Na jane ashk se aankho me kyun ho aaye hue,
Guzar gaya hai zamana tujhe bhulaye hue...!!
"yeh"
Re: Bait Baazi Month Of July 2010
Yaad kuch aayeen is tarah se bhooli huwi kahaneyaan
Khoye huwe diloon mein aaj dard utha ke reh gayeen ...
"Noon"
Re: Bait Baazi Month Of July 2010
na haraa hai ishq na duniyaa thakii hai
diyaa jal rahaa hai havaa chal rahii hai
"yeh"
Re: Bait Baazi Month Of July 2010
Yun tau dekhay gaye mansoor zamanay mein kaee
Zindagi bhar koi tujh sa na mila tere baad ...
"Daal"