Bait Baazi Month Of July 2010

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Deyaar-E-dil ki raat main chiragh sa jala gaya,
Mila nahin to kiya hoa, woh shakl to dikha gaya,

"alif"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Us se mein kuch paa sakoon aisi kahaan umeed thee
Gham bhi woh shaayad baray-e-meharbaani de gaya ...

"Alif"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Abhi na chair muhabbat ke geet aey mutrib
abhi hayat ka mahool khushgawar nahi..

"noon"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Na dekh sheesha-e-ehsaas mein uttar kar mujhe
Yeh kya saleeqa huwa zabt aazmaanay ka ...

"Alif"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Aankhen hazar zabt ki koshish k bawjood
ruk ruk k bar bar barasti hain aaj bhi..!!

"yeh"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Yaheen se seekhay thay adaab-e-zindagi mein ne
Yaheen jabeen thee kabhi aur yaheen zameen thee kabhi ...

"Ye"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Yahan kisi koi kuchh hasb-e-aarzu na mila
kisi ko ham na miley ham ko tu na mila...

'ALIF"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Ab gul se nazar milti hi nahe, ab dil ki kali khilti hi nahe
Ay fasl-e-bahaaran rukhsat ho, hum lutf-e-baharaan bhool gaye ...

"Ye"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Ye khon ki mehk hy k lab-e-yaar ki khushbo
Kis rah ki janib say saba ati hay dekho...
Gulshan main bahar i kay zindaan hua abaad
Kis simt say naghmoon ki sadaa ati hay dekho

"wow"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Wamiq, tere junoon ki shoula zubaneyaan
Us ne kaha hai humein pukaar kar dekho ...

"Wao"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

yeh rooh-e-drakhshan, yeh zulfon key saey
yeh hangama-e-subah-o-shaam, Allah Allah

"hey"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Har taraf har jagaah be-shumaar aadmi
Phir bhi tanaeyoon ka shikaar aadmi ...

"Ye"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Ya maseehae osay bhool gae hai mohsin
ya phir aisa hai mera zakhm he gehra hoga

"alif"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Is talkh hakeekat ko jaana magar dair se
Zindagi Ishq-o-Muhabbat ki dastaan nahe ...

"Noon"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Na wo ankh he teri aankh the na wo kwab he tera khawab tha
Dil e muntazirr tow ye kis liay tera jaagna osay bhool ja....!!!

"alif"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

******Aankhoon se us ka naam mita'oun tau kis tarah
Aik muddat se jo dil ke afsaanay mein rahay
Dil ke basti mein woh aaye aur chalay bhi gaye
Hum tamaam umer ghar ko sajaanay mein rahay ...

"Ye"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Yeh kafas hi mujh ko azeez hai,
Yahan jee to longa karaar se,
Mujhe ab chaman mein naa le chalo,
Main darta hoon ab bahaar se.

"yeh"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Yeh aur baat ke hum tujhse rahay waabasta
Magar humein na kaha apna meharbaan tum ne
Karega zikar zamaana baray taqaddus se
Woh silsila jo kabhi muyassir nahe kiya tum ne ...

"Ye"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Thank you all for your participation ...