Bait Baazi Month Of July 2010

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Aik yehi aas hi kaafi hai mere jeenay mein
Dil nahe aap dharktay hain mere seenay mein
Tujh se jo ghao millay dil se laga letay hain
Kitni lazzat hai teri zaat ke ghum peenay mein ...

"Noon"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Nahin iss khulli fiza mein koi gosha e faraaghat
yeh jahan ajab jahan hai na qafas na ashiyana
tairi banda parwari se maire din guzar rahe hain
na gilla hai doston kaa na shikayat e zamaanah

"hey"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Hamari pur-khuloos neyatton se manzilain kyon chinn gaeen
Muqaddaron se wazahattain na tujhe mileen na mujhe mileen ...

"Noon"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Nikly jo rah-eshuoq mein,hath mein hath dy ka hm
Shahar ka shehar jal gya, chooTi si aik baat par..

"rey"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Raaz yeh tera raaz hai issay raaz-e-dil bana ke rakhun
Kya huwa gar de gaya woh tujhe umer bhar ki judai
Poocha jo chaand ne kaun hai tere saath
Dheere se mein ne kaha ... Mein aur meri tanhai ...

"Ye"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Yeh misaiil-e-tasawwuf, yeh tera biyaan Ghalib...!!
tujhey ham wali samajhtey jo na badah'khawar hota

"alif"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Ab justaju-e-dost ki manzil kaheen bhi ho
Hum chal pare hain raah ko dushwaar dekh kar ...

"Ray"

ranjish hii sahii dil hii dukhaane ke liye aa
aa phir se mujhe chhor ke jaane ke liye aa

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Aaj kya soch kar bhar aayeen hain teri aankhain
Hum pe ay dost yeh saa'at tau hamesha guzri ...

"Ye"

*ye tabiyat hai to Khud aazaar ban jaayenge ham
chaaraagar royenge aur Gam_Khvaar ban jaayenge ham *

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Maana ke yeh dil ab tau hai ujjra huwa mandir
Toota hi diya is mein jala kar chale jaaoo ...

"Wao"

vafaa ke Khvaab muhabbat kaa aasara le jaa
agar chalaa hai to jo kuchh mujhe diyaa le jaa

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Ek shakhs ko kho daine ka darr q nahi jata
ye booj mere dil mere dil se uttar q nahi jata
manzil pa pohonch k bhi usse khona parega
ye pata hai phir b shoq-e-safar q nahi jata

"alif"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Ab tera zikar bhi shaayad hi ghazal mein aaye
Aur ke aur huwe dard ke unwaan janaan ...

"Noon"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Nazar To Mila Sake Par Zubaan Ko Hila Na Sake,
Laakh Chaaha Humne Phir Bhi Hum Tumko Bhula Na Sake.

yeh

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Yun tau maloom hai anjaam-e-dua kya hoga
Dil ki taskeen ke leye haath utha letay hain ...

"Noon"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Najane kyun is jahan mein aisa hota hai,
Khushi jise mile wohi rota hai,
Umar bhar sath nibha na sake jo,
aksar PYAR usi se kyun hota hai..

        Alif

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Ek tum hi na mil sakay warna
Milne wale bichar bichar ke milay ...

"Ye"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Yahi nahien kah faqat hum hi iztaraab mein haien
Humaaray bhoolnay waalay bhi is azaab mein haien


"noon"