Bait Baazi Month Of July 2010

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

“Alif”

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

In lafzoon ka kya karna jo meyaar na de sake koi
Gar mil jaye meyaar tau aitbaar na de sake koi ...

"Ye"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

“Alif”

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Ab tak tau dil ka dil se taa'ruf na ho saka
Maana ke us se milna milaana bahut huwa ...

"Alif"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

us ki muthhi ma bht rooz raha meraa wajood
merey saahir se kahoo ab mujhe azaad karey

"yeh"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

...

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Yeh hum muhabbat mein la-ta'aluq se horahe hain tau dekh lena
Duaayain tau khair kaun dega salaam bhi mumkin na raheyga ...

"Alif"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

...

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

noon

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Na woh raasta na woh manzilain na woh rakht-e-safar-e-shaam hai
Jo bikhar gaya mera khwaab thaa jo mehak utha tera naam hai ...

"Ye"

Ye Adaa-e-Beniazi Tujhe Aye Bywafa Mubarak
Aisi bhi Be Rukhi kya ke salam tak na pahunche

"yeh"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Yeh na kar woh na kar dil ko samjhaatay aaye
Zubaan bandi ne hi mehka deyey hain dil ke saare raaz ...

"Zaal - Zee"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Zara Aagey Chalo Gay To Izafa Ilm Mein Hoga...
Mohabbat Pehly Pehly Be-zarar Mehsoos Hoti ha

"YEH"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Yeh naubat kal jo aani hai tau sharminda nahe honge hum
Maraasim ehteyaat'tan torr daina chahatay hain hum ...

"Meem"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Meri hasti nahi anmol phir bhi bik nahi sakta
Wafaain baich lena per zara nelam hony do

"wow'

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Wafa ki dhoop mein jaltay huwe angaaray thay
Unhee se raushan kiya hum ne gham-e-hasti ko ...

"Wao"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

woh rothay is qader kay manaya na gaya
door itana hogay k pas aya na gaya
Dil to dil tha samander ka sahil nahi
likh dia nam to phir mitaya na gaya


"Alif"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Awaz mein thehrao tha ankhon mein nami thi
Aur keh raha tha k mein ne sab kuch bhula diya,

"alif"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Ashk chup chap hi aankhon se baha deta hoon
Yun tere pyar ko andaaz naya deta hoon
Tera milna tau muqaddar mein nahe shaayad
Apni aankhoon mein faqat khwab hi saja deta hoon ...

"Noon"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

na main paas us ko bula saka
na main dill ki baat suna saka
wo hansi hansi main he chal dia
keh main hath tak na mila saka .

"alif"