Bait Baazi Month Of July 2010

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

yehe ha na tmhy hm sy bichr jany ki jaldi ha
kbhi milna tmhary masaly ka hal nikaly gy

"yeh"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Ya maseehai issay bhool gae hai 'Mohsin'
Ya phir aisa hai mera zakhm hi ghehra hoga ...

"Alif"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

ab to daman pe lahu hai kaho kya kehte ho
ab to inkaar-e-sitam ka koi pehlu bhi nahi

"noon"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Neendoon ke dais jaatay koi khwaab dekhtay
Lekin diya jalaanay se fursat nahe milli ...

"Ye"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

yaani tarteeb-e-karam ka bhi saleeqa tha usey
us nay pathhar bhi uthhaya mujhey pagal ker k

"yeh"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Yeh ajeeb imtehaan hain ke tum ho ko bhoolna hai
Milay kab thay is tarah hum tumhein be-dilli se pehlay ...

"Ye"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

ye juda'ion ke rastay bari duur tak gaye hain
jo gaya wo phir na aaya, meri baat maan jao

'W0w'

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Wo shakhs khizaan rut mein bhi mohtaat hai kitna
Sookhay huey phoolon ko bikhernay nahin deta
Main us ko manaoon k gham-e-dohar se uljhoon
Mohsin wo koi kaam bhi kernay nahin deta.....

"alif"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Apna shaiwa ke andheeron mein jalatay hain chiraag
Un ki saazish ke zamaanay mein yunhi raat rahay ...

"Ye"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

yaadon ka aik jhonka aaya humse milne barson baad
pehle itna roye nahi thay jitna roye barson baad
lamha lamha ghar ujra hai mushkil se ehsaas hua hai
pathar aaye barson pehle sheeshay toote barson baad

"dal"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

*** Din guzartay hain kahaan raat kahaan hoti hai
Dard ke maaroon se yeh baat kahaan hoti hai
Aik se chehray tau hotay hain is duniya mein
Aik si soorat-e-halaat kahaan hoti hai ...


"Ye"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

yeh ghareeb logon key ghar sey door rehti hai
tajarba hai yeh mera chandni key barey mein

"noon"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Na jaane kaun sa woh bad-naseeb lamha thaa
Jo gham ki aag mein mujh ko jala gaya chup chaap ...

"Pay"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

parhta tha ma namaz samagh kr jisey rashid
phr yun hua k mujh se qaza ho gea wo shakhs

"swad"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Sirf harjae pan ki baat nahe
Log ab humein kya nahe kehtay
Is qadar zulm seh ke bhi ay dost
Hum tujhe bewafa nahe kehtay ...

"Ye"

wrong!!!

us se swad bola tha..and u started it with “SEEN”…so technically wrong :p:

How do you write Sirf in urdu ?

hahahahah..oh yeah sorry..u were right:blush:..technically i am wrong :blush:

ye jo aatish_kadaa duniyaa mein bharak uTThaa hai
** aansuon se usey har baar bujhaayein kaise**

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Yeh jo mein ne taaza ghazal kahi, so hai nazar ehl-e-firaq ki
Ke na mil saka koi naama-bar mujhe mere yaar ke shehar ka ...

"Alif"