Bait Baazi Month Of July 2010

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Nafrat jo karoge tau lagenge apne bhi begaanay
Muhabbat kar ke tau dekho yeh sara jahaan hamara hai …

“Ye”

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

ye jannat mubarak rahey zahidon ko…
ki mein apka saamna chahta hun…

“noon”

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Naghma kisi ne saaz per chehra tau ro deyey
Ghunchaa kisi ne shaakh se torra tau ro deyey …

“Ye”

Yun phir raha hai kaanch ka paiker liyey huwey
ghafil ko gumaan hai keh pather nahin aaey ga

“Alif”

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Aao ke ab us Hasti-e-Bartar ko pukaarain
Woh jis ke siwa koi Khudawand nahe hai
Hai jis ka yeh ailaan ke darwaaz-e-tauba
Ehsaas-e-nadaamat ke leye band nahe hai …

“Ye”

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Yeh zindagi ka dasht, yeh mahroomiyon ki aanch
baithoon kahan keh saya-e-deewar bhi nahin..

“noon”

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Nigaah sar-siri daalo tau sab hain daanish-war
Agar jo gaur se dekho tau sab deewane hain …

“Noon”

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

naa janey kab ka pohanch bhi chuka sar-e-manzil
woh shakhs jis ka humein intezaar rah mein hai

“yeh”

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Yeh khullay khullay se gaisoo aaenay laakh tau sanwaray
Mere haath se sanwartay tau kuch aur baat hoti ..

“Ye”

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

ya to hamare sath na chalna,azam-e-safer mut karna
sath chalo to phir raste me agar magar mut karna…

“alif”

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

***Us ke sab jhoot sach sahi ‘Mohsin’
Shart yeh hai ke woh bolay tau sahi … ***

“Ye”

Yeh log koun se manzil KI Baat karty hai
Musafiroo kay liyee Rasta hi kafi hai…!!

“yeh”

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Yeh talkh talkh sa lehja, yeh taiz taiz si baat
Mizaaj-e-yaar ka aalam sharaab jaisa hai …

“Ye”

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Yay aor baat k membar pa aa k kuch na kahian
Khamoosh loog bala k khateeb hotay hian…

“noon”

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Neend aankhoon se rooth jaati hai
Aah se bhi aur aagahi se bhi …

“Ye”

Yay teer dil mein magar be-sabab nahi utra
Koi jo hurf-e-lab chara-e-gar sey niklaa tha

"Alif "

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Achha khasa bethe bethe gum ho jata hoon..
Ab main aksar main nahi rhta tm ho jata hoon.

“noon”

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

** Na dilaye ab koi mujhe muhabbat ka yakeen Jo mujhe bhool nahe saktay thay wohi bhool gaye ...**

“Ye”

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Ye Waqt Kis ki Ra’oonat Pe Khaak Daal Gaya
Ye Kon Bol Raha Tha Khuda Kay Lehjay Main

“noon”

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Na milta gham tau barbaadi ke afsaanay kahaan jaatay
Agar duniya chamman hoti tau weeraanay kahaan jaatay …

“Ye”