Bait Baazi Month Of July 2010

na jaaney koun sa toofan aaney wala hai
bohat dinoo'n se tabiyat hai be'qaraar bohat

"t"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Wafa ke sheesh mehal mein saja liya mein ne
Woh ek dil jissay patthar bana liya mein ne ...

"Ye"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

there is confusion.. i ended with Ye, Miss started with noon and ended with t and Amar you have written a sher with w0w.. :hayaa:

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

^

Thanks for pointing out redidentity ... I have settled the matter now ... :)

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

***Tujh ko apne dil mein basaya aur basaya kuch bhi nahe
Jidhar dekha tau hi nazar aaya aur nazar aaya kuch bhi nahe ...


"Noon"

Nazar Nazar main aday-e-Jamal rakhte thay
Hum aik shaks ka kitna khayal rakhte thay

"yeh"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Yeh bewafaeyaan tau hai dastoor-e-zindagi
Hum se khafa na ho ke wafa kar nahe sakay ...

"Ye"

Yey hay aandazay taghaful to kiamaat ho gi
Kia karay ga wo jisay tum sa mohabaat ho gi

"yeh"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Yehi nahe ke zamanay mein aashnaa na mila
Sitam tau yeh hai ke wafaoun ka bhi silla na mila ...

"Alif"

afsordagii-e-zeest ki tadeed kejye
haan muskaraien,meri tai'eed kejye

"yeh"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Yehi zindagi museebat, yehi zindagi musarrat
Yehi zindagi hakeekat, yehi zindagi fasaana ...

"Alif"

Aap sahill pe hamain daikh karr hairan kyun hain
hum wohi hain jinhain chor aye the tofanon mein

"noon"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Na-rehnumaoun ki mehfil mein le chalo mujh ko
Mein be-adab hoon, hansi aa gae tau kya hoga ...

"Alif"

us ny hamary zakhm ka kuch yun kiya elaj
marham bhi lagaya to kanton ki nok sey..

"yeh"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Yaqeen se be-yaqeen ka safar tay kiya mein ne
Magar phir bhi tere dil ki raza kuch aur kehti hai …

:wave:

Yehi shehr-e-gham ka naseb ha k wo roshni ka naqeeb hai
jo chura geya hai kiran kiran jo bujha geya hai diya diya....

"alif"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Uss ne hansi hansi main muhabbat ki baat ki
mainay adeem uss ko mukarnay nahi dia

'Alif'

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Ulti ho gaein sb tadberein kuch na dawa ny kaam kya
dekha, is beemar-e-dil ney aakhir kaam tmaam kiya

"alif"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

TAY

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Teri furqat main ye akhien abhi tak num hain
Kabhi aana mere ashkoon ki ziyarat karna
Dil main ab bhi mohabbat k diye hain roshan
Dekh bhoolay nahi teri hasti ki ibadat karna

"alif"