Bait Baazi Month Of July 2010

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Yeh maana qissa-e-gham tumhara jee behlaata hai
Sunayain tum ko apnay dard-e-dil ki daastaan kab tak ...

"Kaaf"

Kabhi Taqdeer Ka Matam Kabhi Duniya Ka Gila
Manzil-e-Ishq Mein Har Gam Pe Rona Aaya
Jab Hua Zikr Zamane Mein Mohabbat Ka
Mujh Ko Apane Dil-e-Nakaam Pe Rona Aaya

"alif"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Ay sadma-e-firaaq na kar hum se cher chaar
Tou kis ka naaz hai ke tujhe bhi uthaayain hum ...

"Meem"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

main nay mana k taghaful na kero gay lakin

hum khaak ho jaain gay tum ko khabar onay tak

Re: Bait Baazi Month Of July 2010


Welcome .... !

Kis kis ko bataayenge judai ka sabab hum
Tau mujh se khafa hai tau zamaanay ke leye aa ...

"Alif"

ab tak dil-e-khushfaham ko tujh se hain ummiiden
ye aakhrii shammen bhii bujhaane ke liye aa

"alif"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Now thats a real coincidence ... :D

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Aa jao ke andheri raatoon mein tanha jaaga karta hoon
Jab sham'main na jalain tau aankhoon ko jalaaya karta hoon ...

"Noon"

:)

Naye aghaz main hi hosla kion tor baythay hoo
Jeet jao gey tum sub,zara anjaam hony do !!!!

"wow"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

***Woh mere dard ko chunti hai apnay pooron se
Woh mere wastay khud ko nidhaal rakhti hai ...


"Ye"

Yaaad aon to bs itni siii inayat karna
Apne badle huy lehjy ki wazaht krna
Tum to chahat ka shahkar huwa karte thay
Kis sy sekha hai ye ulft main milawt krna

"alif"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Aah ko chaaheyey ek umer assar honay tak
Kaun jeeta hai teri zulf ke sar honay tak ...

"Kaaf"

kabi lout ayein tu pochna nahi,bs dekhna unhey ghour sey
jinhey rastey main khabar hoe key yeh rasta koe aur hai

"yeh"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Yun dekhtay rehna ussay acha nahe 'Mohsin'
Woh kaanch ka paikar hai tau patthar teri aankhain ...

"Noon"

Nakaam rahey nashaad rahey taqdeer bhi ham sey rooth gaii
jis shaakh pe hm ny haath rkha wo shaakh wohi sey tooti gaii

"yeh"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Yeh ajeeb baat hai ke tum aaye ho tau koi nahe
Wagarna gham yahaan tau beshumaar rehtay hain ...

"Noon"

naghmon ki ibtida thi kabhi merey naam sey
ashkon ki intihaa hoon, mujhey yaad kijiyey

"yeh"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Yeh hum hi hain ke tera dard chupa kar dil mein
Kaam duniya ke ba-dastoor keye jaatay hain ...

"Noon"

Na Ganwao Navek-e-neem Kash, Dil-e-Reza reza gnawa Diya
Jo bachay hein sang samait LO Tan-e-Dagh Dagh Lutaaa Diya

"alif"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Ek aisi dhunn ke nahe phir kabhi mein ne suni
Woh munfarid saa hansi mein kamaal rakhti hai ...

"Ye"