Bait Baazi Month Of July 2010

ye ishq ne dekhaa hai ye aql se pinhaan hai
qatare mein samandar hai zarre men bayaabaan hai

yeh

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Yehi hai zindagi kuch khaak chand umeedain
Inhee khilaounoon se tum bhi behal sako tau chalo ...

"Wao"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Wo bewfaaa na tha yhu hi badnaaam ho gyaaa....
Hazarooo chahne waly thay kis kis se wfaa krtaaa

Acha hua ke chhor gaye tum hi raah mein
Ilzaam e bewafai meray sar nahi gaya
mujh se bichar k zinda ha tu bh tu shehr mein
tujh se bichar ke mein bhi koi mar nahi gaya

"alif"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Ab ke gar tu milay tau hum tujh se
Aisay liptain teri qabaa hojaayain ...

"Noon"

Nazar sey saaf jhalaktey hain dil key weeraney
woh haal hai keh ab aainey sey bhi darta hoon

"noon"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

**Na woh sakoon se betha na mujh ko qaraar tha
Yeh mukhtasar sa haal hai rukhsat ke waqt ka *
*

"Alif"

Usy ye shoq k mohabt ki bhek main mangun
Meri ye zid k taqaza mera usool nhi....
Usy ye shoq k uss ki sari ziden hon pori
Meri ye zid k ruswayi mujhy qubool nhi....

"noon"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Na hoo hamsafar hamarai jee rahain hain lafzo ke sahary
Faqat lafaz hee to hain inhain humnam rehnai doo ...

"Wao"

Wo sath tha tu Khuda bh tha mehrban kya kya
Bicharr gaya tuu hoi hain Adavatian kesii..!!

"yeh"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Yun tau mein hans para hoon tumhare leye magar
Kitnay sitaaray toot paray ek hansi ke saath ...

"Hay"

Hum haqeeqat hain too tasleem na kernay ka subub
Haan ager harf - e - ghulut hain too mita doo hum ko

"WOW"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Woh jo meri chaahaton ka sawaal thaa
Woh hi meri muhabbat ka zawaal thaa
Wakt-e-rukhsat pur-nam aankhoon se
Us ka yun muskuraana bhi kamaal thaa ...

"Alif"

useu chaha,usey pooja,yahi touqeer hai apni
hamy gumrah mt samgho ebadat kb badalti ha

"yeh"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

ye karb kaa ehsaas musalsal mere Allah
kar degaa kisii din mujhe paagal mere Allah
bikhre hu’e TukRoN ko sametuuN bhii kahaaN tak
kis tarah karuuN Khud ko mukammal mere Allah

Hamein bhi aa pada hai doston se kaam kuch shayad,
Hamare doston ke bewafa hone ka waqt aaya!

"alif"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

***Udaseyoon ka koi sabab ho tau batlaayain
Ke hum aksar be-sabab udaas rehtay hain ...


"Noon"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Agar fursat mili mujhe kabhi zindagi se
tumhari taraf phir ik bar laut ahon ga

Alif

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

***Udaseyoon ka koi sabab ho tau batlaayain
Ke hum aksar be-sabab udaas rehtay hain ...


"Noon"

Na shab ko chand he acha Na din ko mahar acha
Yeh hum pay beet rehi hian Qayamtain kesi..!!

"yeh"