Bait Baazi Month Of July 2010

*vo to Khushbuu hai havaaon mein bikhar jaayegaa
masalaa phuul ka hai phuul kidhar jaayegaa *

Alif

Re: Bait Baazi Month Of July 2010


Aap ko bhool jaayain hum itne tau bewafa nahe
Aap se kya gilla karain aap se kuch gilla nahe
Jurm hai gar wafa tau kya... kyon mein wafa ko chor doon
Kehtay hain is gunaah ki hoti koi saza nahe ...

"Noon"

Na jaane ashk se aankhoN maiN kuen hai aaye hoay
Guzar gayaa zamaanaa tujhay bhulaaye hay

**
"Yay "**

Re: Bait Baazi Month Of July 2010


Yeh aasmaan mein seyaahi kis ne bikhaair di
Humein thaa shauq bahut is mein rang bharnay ka ...

"Alif"

isii mein Khush huun meraa dukh koii to sahataa hai
chalii chaluun ki jahaaN tak ye saath rahataa hai

Hay

Re: Bait Baazi Month Of July 2010


Huwa hai tujh se bicharne ke baad yeh maloom
Ke tu nahe thaa tere saath aik duniya thee ...

"Ye"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

ye karb kaa ehsaas musalsal mere Allah
kar degaa kisii din mujhe paagal mere Allah
bikhre hu’e TukRoN ko sametuuN bhii kahaaN tak
kis tarah karuuN Khud ko mukammal mere Allah
har zehn jihaalat ke andheroN kaa hai maskan
har haath meN hai ilm kii mash’al mere Allah

"HAY"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Hay koi ehl-e-dil jop khareeday humara Mizaaj Sagar

Hum zakham kharedty hyn Muhabbat kay bhao main..

"Noon"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010


Na jane kab koi toofaan aayega yaaroon
Buland mauj se saahil qareeb lagta hai ...

"Ye"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

**Yaad e mazi azaab hay ya rub **
Cheen lay mujh say hafza mera...


"Alif"

AankhooN maiN nami aati hi nahiN hontooN say hansi jati hi nahiN
Ay waqt palat ker daikh keh maiN tasveer maiN kitna zinda hooN
Aangan maiN gum sum baitha hoon, bay asbabi ka ranj liyay
Sanata bataiN kerta hai, mujh say keh maiN goya zinda hooN

"Noon "

Re: Bait Baazi Month Of July 2010


**Na poocho hum se koi baat ke zindagi
Khud ek sawal ban ke reh gaye hai
Dard itnay hain seenay mein ke khushi
Ek khayal ban ke reh gaye hai ... *
*

"Ye"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Yaa Merii ZIdd haii Tujhaii Tuj Sa MaGnaa, WarNaa……..
KhUdaa Sa Mangooo Joo TUjh Ko Tu, Tu Abiii Millllll Jayyyy!!!!!!!!!!!

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Yun dil ko har ek shaks pe waara nahe kartay
Aankhoon mein har ek aks utaara nahe kartay ...

"Ye"

*ye jo hai hukm mere paas na aaye koii
is liye rooth rahe hain ki manaaye koii *

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Yeh kaisa dard ka sailaab jee se guzra hai
Yeh kis ne aag laga di hai pairhan mein mere ...

"Ye"

**yuon sajaa chaand ki jhalakaa tere andaaz kaa rang
youn fazaa mahakii ki badalaa mere hamaraaz kaa rang

gaaf
**

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Gham-e-zindagi, gham-e-bandagi
Gham-e-dojahan, gham-e-javeedan
Meri har nazar teri muntazir
Teri har nazar mera imtehaan ...

"Noon"

**na tha kuchch to KHuda tha, kuchch na hota to KHuda hota
duboya mujhko hone ne, na hota maiN to kya hota ?

alif
**

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Aa jaa ke tere milnay k waaday per hum ne
Taala hai maut ko bahut ehtemaam say ...

"Ye"