Re: Bait Baazi Month Of July 2010
***"na tum ko Khud pe bharosaa na ham ko zom-e-vafaa
na aitabaar-e-jahaan hai qariib aa jaao"
"Wao"***
Re: Bait Baazi Month Of July 2010
***"na tum ko Khud pe bharosaa na ham ko zom-e-vafaa
na aitabaar-e-jahaan hai qariib aa jaao"
"Wao"***
Wo aks hai kisi aainay ki hai us ko talash
Wo naqsh hai kisi dil per ubharna chahta hai
Sehr ka noor hai or yay hai mud'da us ka
Hissar-e-shab say nikal ker bikharna chahta hai
"yay "
ye shararat bhara lehja to mere adat hai
tou her aik baat pay yon na khafa hoa ker
"rey"
Re: Bait Baazi Month Of July 2010
"Noon"
Najaney kon sa aaseb dil mein basta hai....
keh jo bh thehra wo akhir makan chhor geya
"alif"
Re: Bait Baazi Month Of July 2010
"Ye"
yeh kaun hain kiyun raah mein laachar bethey hain
musafir hain safr karney ki himmat haar betehy hain
"noon"
Re: Bait Baazi Month Of July 2010
"Ye"
yeh jo raat din ka hey khel saa issey dekh is per yaqeen ker
nahin aks koii bhi mustaqil sar e aain`a ussey bhool jaa
"alif"
Re: Bait Baazi Month Of July 2010
"Alif"
Ajnabi kitna akela hai mohobbat ka safer
Tu meray sath na hota to maiN derta rehta
Usay jana tha koi zakhm day ker hi jata
Is bahanay maiN usay yaad to kerta rehta
"Alif "
Re: Bait Baazi Month Of July 2010
"Ye"
Yay aarzoo hai kay qissa tamaam ho ja'ay
Mila hai zulf ka saaya tou shaam ho ja'ay
Kisii pay teiz duaaieN asar nahiN karteN
Kisii ka sirf duaaoN say kaam ho ja'ay
" yay "
Re: Bait Baazi Month Of July 2010
"Wao"
**waa-e-deewaangee-e-shauq, ke har dam mujhko
aap jaana udhar aur aap hee hairaaN hona
alif
**
Apni Millat pe qayas Aqwam-e-Maghrib se na kr,
Khas hai tarkeeb mein Qoum-e-Rasool-e-Hashmi...
"yeh"
**yaarab ! zamaana mujhko miTaata hai kis liye ?
loh-e-jahaaN pe harf-e-muqarrar naheeN hooN maiN
noon
**
Re: Bait Baazi Month Of July 2010
"Alif"
*aah ko chaahiye ik 'umr asar hone tak
kaun jeeta hai teree zulf ke sar hone tak ?
*
Kaaf
Re: Bait Baazi Month Of July 2010
"Wao"