Bait Baazi Month Of July 2010

HazarooN mashghlay haiN jo mujhay masroof rakhtay haiN
Mager mohsin wo aisa hai keh phir bhi yaad aata hai

"Yay "

Re: Bait Baazi Month Of July 2010


*Ye jantay hain k teri fitret wafa se na aashna hai phir bhi
Teri taraf se lagaye rehte hain apnay dil ko tasalliyo'n main ... *

"Noon"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Na hara hai Ishq na Duniya thaki hai
Diya Jal raha hai hava chal rahi hai
sukoon hi sukhoon hai khushi hi khushi hai
Tera ghum salamaat mujhe kiya kaami hai...

    "I"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010


Yeh bhi hai tamanna ke ussay dil se bhula dain
Is dil ko magar us ki zaroorat bhi bahut hai ...

"Ye"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

ye daulaat bhi lay lo ye shohrat bhi ley lo
bhalay cheen lo mujh sey meri jawani
Magar mujh ko louta do bachpan ka sawan
woh kaghaaz ki kashtee woh baarish ka paani....

  "I"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010


Yehi bahut hai ke baitha hai sar jhulaye huwe
Mujhe ujjaar kar woh shaks sharmsaar tau hai ...

"Ye"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

"Ye Shehar Agar Shehar Hai To Phir Sunsan Sa Kyun Hai
Is Shehar Ka Her Shakhas Parishan Sa Kyun Hai"

"yeh"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Ye wafa ka sila hai tu koi baat nahin
Ye Dard Tumnay Diya hai tu koi baat nahin
Yahi bahut hai kay tum dekhtay hoo Saahil Sey
Safeena Doobh raha hai Tu koi baat nahin....

"N"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Na Janay Kis Tarha Ka Rishta Hai Mera Us KI Zaat Se.....
Wo Zara Bhi Khamosh Ho To Sans Thaher Si Jati Hai....!!!!

yehh!!

Re: Bait Baazi Month Of July 2010


Yeh dil bahut udaas hai jab se khabar huwi
Miltay ho tum khuloos se har ajnabi ke sath ...

"Hay"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

Hum Tasleem Karte Hain Humain Fursat Nahin Milti,
Magar Yeh Bhi Zara Socho Tumhain Jab Yaad Karte Hain Zamana Bhool Jatay Hain........!!!

NiyatooN ka bhaid to khulta ha manzil kay qareeb
Werna aaghaz - e - safer maiN rahzn koi nahiN

"Noon "

Re: Bait Baazi Month Of July 2010


Na jaane kitne iraadon mein bat gaya hai wujood
Tujhe bhula bhi diya aur beqaraar bhi hoon ...

"Noon"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

nahin hai tu bhi qayamat ki tund-o-taiz hawa
kissi ke naqsh-e-qadam ki lakeer hum bhi nahin

Re: Bait Baazi Month Of July 2010


Na jee lagta namaazon mein na kalma yaad aata hai
Teri qaatil adda'oun ne mujhe kaafir bana daala ...

"Alif"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

elaan-e-marg hoa to us nay bhi keh diya mohsin

acha hoa mer gaya aksar udaas rehta tha

Re: Bait Baazi Month Of July 2010


Abhi is taraf na nigah kar mein ghazal ki palkain sanwar lon
Mera lafz lafz ho aaena tujhe aaenay mein utaar lon
Mein tamaam din ka thaka huwa tu tamaam shab ka jagah huwa
Zara thehar ja issi morr per tere sath shaam guzar lon ...

"Noon"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

NaHii UthTeen Wo AanKhaiN PhiR KiSi Pe Bhi
Ke Jin AanKho0n MaiN Ye FaNaa HoTi HaY MUHABBAT

Re: Bait Baazi Month Of July 2010

tamana thi kay koi toot kay chahta hume bhi Faraz
hum to hud hi toot kay bikher gaiy kisi ki chahat mein

N

Re: Bait Baazi Month Of July 2010


Na tujhe maat huwi hai na mujhe maat huwi hai
So ab ke donoo hi chaalain badal ke dekhtay hain ...

"Noon"