Bait- baazi May 2012

Re: Bait- baazi May 2012

***Haan theek hai main apni ana ka mareez hoon *
*Mere muamlaat mein kyon dakhal de koi *
*Sabit hoa sakoo-e-dil-o-jaan kahin Nahi *
**Rishtoon mein dhonta hai tu dhoonda phire koi

kaaf/ye ****

Re: Bait- baazi May 2012

why do i keep getting ye :(

Re: Bait- baazi May 2012

Kab yaaroN ko tasleem nahi kab koi ado inkaari hai
Is kooye talab meN hum ne bhi dil nazr kiya jaaN waari hai

Re: Bait- baazi May 2012

Ya shab ki saltanat main din ka safeer aaya
ghurbat main aakay chamka gumnaan tha watan main

Re: Bait- baazi May 2012

*Meri khatir shab-e-furkat mein na sona tera, *
**Meri yaadon mein parayshaan sa hona tera,

*Aur phir khat mein shab-e-hijr ki baabat likhna, *
*Kya hua tera har ik roz mujhay khat likhna *
**aour khat mein dil-e-betaab kee haalat likhna

laam/alif****

Re: Bait- baazi May 2012

Aaiinaa kyuuN na duuN K tamaashaa kaheN jise
Aisaa kahaaN se laauuN K tujhsaa kaheN jise

Hasrat ne laa rakhaa terii bazm-E-Khayaal meN
Guldastaa-E-nigaah suvedaa kahe.n jise

Re: Bait- baazi May 2012

***Yaad us ki bhi hawa he say bandhi hai shayad *
**aik jhoola sa humain jis ne jhula rakha hai

hey/ye****

Re: Bait- baazi May 2012

hum tu yuuN apni zindagi sai miley
ajnabi jasiey ajnabi sai miley

har wafa eik jurm ho gaya
dost kuchh aisee beruKhii sai miley

Re: Bait- baazi May 2012

Ab kya hai jo tere paas aauN
Kis maan par tujhko aazmaauN

Zakhm ab ke to saamnehi khaaauN
Dushman se na dosti buRhaaauN

Re: Bait- baazi May 2012

***bhuulate jaate hain maazii ke dayaar*
**yaad aayen bhii to sab yaad nahiin

noon****

Re: Bait- baazi May 2012

Naam hi kya nishaN hi kya khaab O khyaal ho gaye
Teri misaal de ke hum teri misaal ho gaye

Re: Bait- baazi May 2012

**Yehi bauhat hai kay dil usay dhund laya hai

***Kisi kay saath sahi woh nazer tu aya hai

hey/ye*****

Re: Bait- baazi May 2012

Har ek baat pe kehte ho tum K ‘too kya hai’ ?
TumheeN kaho K yeh andaaz-e-guftgoo kya hai ?
:D

Re: Bait- baazi May 2012

*****Yakeen hai ka na aye gaa mujh say milnay koe

Tu phir yeh dil ko meray intzaar kesa hai
hey/ye***


**

Re: Bait- baazi May 2012

HaNse to aaNkh se aaNsu ravaaN hamare hue
K hum pe dost bahut mehrbaaN hamare hue
Bahut se zakhm haiN aise jo unke naam ke haiN
Bahut se qarz sar E dostaaN hamare hue

Re: Bait- baazi May 2012

***Yeh kah saktay ho "Hum dil meiN nahiN haiN" par ye batlaao*
**Kay jab dil meiN tum hi tum ho to aaNkhoN se nehaaN kyun ho

hey/wao****

Re: Bait- baazi May 2012

Woh firaaq aur woh vissal kahaN
Woh shab-O-roz-O-maah-O-saal kahaaN

Fursat-E-karobaar-E-shauq kise
Zauq-E nazzaara-E jamaal KahaaN

Re: Bait- baazi May 2012

***na tha kuch to Khuada tha,kuch na hota to Khuda hota*
**daboya mujh ko hone ne,na hota main to kia hota

hey/alif****

Re: Bait- baazi May 2012

aik hi sakat khvab ho jesey aur hazaron tabireeN
soti jagti ankhon mein bs raat ka mousam thehr gaya

Re: Bait- baazi May 2012

Gham kaa vo zor ab mere andar nahi rahaa
Is umr meiN, maiN itana samar_var nahi rahaa
Is ghar meiN jo kashish thi gayi un dinoN ke sath
Is ghar kaa saayaa ab mere sar par nahi rahaa