Bait- baazi May 2012

Re: Bait- baazi May 2012

Akhri wo bhi kahin rait pe bethi hogi
Tera ye piar bhi darya hai, utar jayega

Re: Bait- baazi May 2012

:yahoo: i finally got J ,now one of my favvvv ones here :smiley:

Jab yaar ne rakht E safar baandha
kab zabt ka yaara us din tha
Har dard ne dil ko sehlaayaa!!
kya haal hamaara us din tha

Re: Bait- baazi May 2012

ab to har baat pe ro detey hain
vaaqif-e-suud-o-ziyaan the pahale

Re: Bait- baazi May 2012

Phir Usi Raah Guzar Par Shayad
Hum Kabhi Mil SakeiN Magar, Shayad
Jinke Hum Muntazar Rahe Unko
Mil gaye Aur Humsafar Shayad

Re: Bait- baazi May 2012

**dilase, tasaliyan, hamdardiyan, khuluus
tamashe bohat hoye dil totne ke baad
**



Re: Bait- baazi May 2012

Dair nahi, haram nahi, dar nahi, aastaN nahi
Baithe hain rahguzar pe ham, ghair hamein uthaaye kyuN

Re: Bait- baazi May 2012

nasheman hii ke luT jaane kaa Gam hotaa to kyaa Gam thaa
yahaan to bechane w**aalon ne gulashan bech Daalaa hai

Re: Bait- baazi May 2012

Insha Ji Utho, Ab Kooch Karo, Iss Shahr Mai Ji Ka Lagana Kya
Wahshi Ko Sukoo’N Say Kya Matlab, Jogi Ka Nagar MaiN Thikana Kya

Re: Bait- baazi May 2012

***khulta kisii pe kyuN mire dil ke muaamala*
**she'roN ke intikhaab ne rusvaa kiaa mujhe

meem/ye****

Re: Bait- baazi May 2012

Yeh waqt phir se kisii imtehaan hi ka na ho
Aur is me abke zayaaN apni jaan hi ka na ho
]Suna hai bazm meN sab ki chhalak paRi aNkhen
KahiiN woh zikr meri daastaan hi ka na ho

Re: Bait- baazi May 2012

***Hijraton ke dour mein ho waapsi ki aarzo *
**waapsi ki aarzoo men shouq-e be qabo ho tum

tey/meem****