Re: Bait- baazi May 2012
ai'hsaan mire dil pe tumhaaraa hai, dosto!
yeh dil tumhaare pyaar kaa maaraa hai, dosto!
DAAL se yaa phir WAAO se
Re: Bait- baazi May 2012
ai'hsaan mire dil pe tumhaaraa hai, dosto!
yeh dil tumhaare pyaar kaa maaraa hai, dosto!
DAAL se yaa phir WAAO se
Re: Bait- baazi May 2012
Wo kia gaya ke rafaqat ke sare lutf gae
Main kis se rooth sakoon gi kisay mana'ongi
Jawaz dhoond raha tha nai rafaaqat ka
wo keh raha tha mian usko bhool jao'ngi
Re: Bait- baazi May 2012
yehii suboot hai dunyaa ke shoGhl-e-be_jaa kaa
k muzmaHil hai tabii'at nashaat-e-kaar ke ba'd
a she'r by my Dad!
BE se yaa DAAL se
Re: Bait- baazi May 2012
Bayan khwab ki tarah jo kar raha hai
Yeh qissa hai jab ka ke Aatish jawan tha
![]()
Re: Bait- baazi May 2012
lol
lol
taGhaaful ek zaroorat hai dard_mandoN kii
mujhe Khabar hai k unko hai sab Khabar merii
Re: Bait- baazi May 2012
Meri jaan aaj ka gham na kar ke na jane katib e waqt ne
kisi apne kal main bhi bhool kar, kahenn likh rakhi hon musarraten
Re: Bait- baazi May 2012
Meri jaan aaj ka gham na kar ke na jane katib e waqt ne
kisi apne kal main bhi bhool kar, kahenn likh rakhi hon musarraten
waah! :)
**
mirii aaNkh tar, mire haath shal, miraa shaanah us kaf-e-naaz meN
vo khaRe mujhee ko saNwaarte haiN mirii Hareem-e-niyaaz meN**
a she'r by my Dad!
Re: Bait- baazi May 2012
Mareez e ishq hai to dawae dil samjh dilbar ko
Phir marz jane,dawa jane, shifa jane, khuda jane
Re: Bait- baazi May 2012
Mareez e ishq hai to dawae dil samjh dilbar ko
Phir marz jane,dawa jane, shifa jane, khuda jane
pilaa do phir dekhi jaayegi? haha
**
jo zaraa saa aaNkh meN nam na ho to yeh raaz kaun samajh sake
koii dekh le to yehii kahe k sitaarah dekh rahaa huN maiN!**
a she'r by: Ali Z. Usmani
Re: Bait- baazi May 2012
Meri dua hai ke muhabbat mujhe wo hasil ho
Usse jo khud se nikaloon to paas kuch na rahe
Re: Bait- baazi May 2012
Ye khud faraib ujalay, ye hath hath diyay
diyay bujhao keh insan gham ko pehchanay
Re: Bait- baazi May 2012
Pakeeza tamannain bhi lati hain udasi,
har zaoq e talab, shaoq e tamanna hi mita de
Re: Bait- baazi May 2012
***Yah aor baat hai dushman hai aaj magar*
**Woh maira dost tha kal tak usay bura na kaho
kaaf/wao****
Re: Bait- baazi May 2012
wafa ka chand yaheen panioN mein utra hy
ye merey khwab ka manzer bikher na jaye kahin
Re: Bait- baazi May 2012
Kuch ishq tha kuch majboori thi so maine jeevan waar diya
Main kaisa zinda aadmi tha, ek shakh ne mujkho maar diya ![]()
Re: Bait- baazi May 2012
Abkey bichdey phir shayad khuabon mein milein..
sookhey huey phool jaisey kitaabon mein milein.
Daulat E Dard ko duniya se chupa kar rakho
Aankh mein aansu nah ho aur dil mein samandar rakho
Re: Bait- baazi May 2012
raaz-e-ulfat chupa ke dekh liya
dil bahot kuchh jalaa ke dekh liya
aur kya dekhne ko baaqii hai
aap se dil laga ke dekh liya
![]()
Re: Bait- baazi May 2012
Ye Ahl-E-Wafa,
Kis Aag Mein Jalte Rehte Hain
Kyon Bujh Kar Rakh Nahi Hote.
Re: Bait- baazi May 2012
**Ye raah akeli kathti hai yaan saath na koi yaar chale
Us paar na jaane kya paain es paar to sab kuch haar chale
Che/ye**
Re: Bait- baazi May 2012
Yeh na thee hamari Qismat K wisaal E yaar hota
Agar aur jeete rahtay, yehi intezaar hota
Tere waa’de par jiyee ham to yeh jaan chhooT jana
K khushi se mar na jaate!!! agar intezaar hota