Re: Bait- baazi May 2012
nahi be hijab woh chand sa, ke nazar ka koi asar na ho
ise itne garme-e-shoq say baree der tak na taka karo
Re: Bait- baazi May 2012
nahi be hijab woh chand sa, ke nazar ka koi asar na ho
ise itne garme-e-shoq say baree der tak na taka karo
Re: Bait- baazi May 2012
Wo to' khushbu hai hawaon mein bikhar jai ga
Massala phool kaa hai, phool kidhar jaye ga
Re: Bait- baazi May 2012
Iqrar Kar Gaya Kabhi Inkaar Kar Gaya
Har Baar Ek Azab Se Do Char KarGaya...
Main Bhi Nhi Hoon,Tu Bhi Nhi Hai To Aur Phir
Woh Kaun Hai Jo Sehan Main Dewar KarGaya..
Re: Bait- baazi May 2012
*Kaam aa sakeen na apni wafaeen to kya kareen *
*Eik bewafaa ko bhool na jaeen to kya kareen *
*Mujhko yee etaraaf ky duwaoon meen hy asar *
*Jaaeen na arsh par jo duwaeen to kya kareen *
Re: Bait- baazi May 2012
niiyat-e-shauq bhar na jaaye kahiin
tuu bhii dil se utar na jaaye kahiin
:)
Re: Bait- baazi May 2012
Kaatib-e-Taqdeer sey kya SHIKWAA aey Dil-e-Nadaa'n
Jab har shay ney mit jaana hai tou phir KHAWAISHEIN kaisi..!!
Re: Bait- baazi May 2012
*kabhi mujh ko saath lekar kabhi mere sath chal kar *
*woo badal gaya achaanak meri zindagi badal kar *
Re: Bait- baazi May 2012
Roz kha laetey hain hanstey howe chehroon se fareb
kaya karein apni nighahoon main murawwat hey abhi
Re: Bait- baazi May 2012
usey yee dar tha keh sitarey na guftugo sun leeN
mujhey yee dar tha kaheeN soraj na nikel ayee
Re: Bait- baazi May 2012
aap logon ko ye sub yaad rehte hain ?
Re: Bait- baazi May 2012
yehi wafa ka sila hai tou koe baat nahi
ye dard tumse mila hai tou koe baat nahi
Re: Bait- baazi May 2012
aap logon ko ye sub yaad rehte hain ?
many of these, yeah. Others are from personal collection.
Re: Bait- baazi May 2012
Impressive :k:
Re: Bait- baazi May 2012
na kisi ki ankh kaa noor hun, na kisi kay dil kaa qaraar hun
jo kisi ke kaam na aa sake main vo ek musht-e-Gubaar hun
Re: Bait- baazi May 2012
hazaroon khuwahishain aisee, kah her khwahish pay dam niklay
buhut niklay miray armaan, laikin phir bhi kam niklay
Re: Bait- baazi May 2012
yeey alag baat hai saaqi ki mujhe hosh nahi
hosh itanaa hai ki mai tujh se faraamosh nahi
Re: Bait- baazi May 2012
Nahi taira nasheman qasar-e-sultani k gumbat per
tu shaheen hai basera ker paharoon ki chatanoon per
:D
Re: Bait- baazi May 2012
pait ka rog bhi hi talkh haqiqat kitni
kese ker deta hi insan se insan juda
jeem/alif
Re: Bait- baazi May 2012
My subseee Fav …I
this oneeee a lott
Jab yaar ne rakht E safar baandha kab zabt ka yaara us din tha Har dard ne dil ko sehlaayaa!! kya haal hamaara us din tha Jab khaab hui us ki aaNkhain jab dhund hua us ka chehraa Har ashk sitaara us shab tha har zakhm angaara us din tha
Re: Bait- baazi May 2012
**Tera Husan Aik Sarab Tha,Mera Ishq Aik Fareb.
Yeah To Zindagi Key Asool They,Kabi Mujh Sey Tu Jo Gula Mila.
Esi Ab-o-Gul Sey Baney hien sab, Mager Appna appna Mazaj hia.
Mujhey Zindagi Ki Kasak Mili, Tujhey Zindagi Ka Maza Mila
meem/alif**