Bait- baazi May 2012

Re: Bait- baazi May 2012

main bulbul-e-nalaan hoon ik ujray gulistaan ka
taseer ka saail hoon mohtaaj ko daata day

Re: Bait- baazi May 2012

***dard mein lazat bohat ashkon mein ranaee bohat*
**ai gum hasti humen dunya pasand ayee bohat

bey/tey****

Re: Bait- baazi May 2012

tum takalluf ko bhi ikhlaas samajhtay ho faraz
dost hota nahi her haath milanay waala

Re: Bait- baazi May 2012

ab tak akele pan ka muslsal azab hi
dunia se dosti ko bohat din guzer gae

mudat hue he tut ker roya nahi hun mein
es chain ki ghari ko bohat din guzer gae

GAAF/YE

Re: Bait- baazi May 2012

yeh baat zarf ki hai magar kis se kijiye
qatra bhi aaj kal hai smandar bana hua

Re: Bait- baazi May 2012

ab samjh lete hein meethe lafz ki karwahten
ho gaya hey zindagi ka tajruba thora bohat
bey/tey

Re: Bait- baazi May 2012

**baarahaa gor dil jhukaa laayaa
ab ke shart-e-wafaa bajaa laayaa

laam/alif **

Re: Bait- baazi May 2012

Lafzon se khailne ki zaroorat nahi tujhe
Saada dilon k saath ye fankariyaan na ka

Re: Bait- baazi May 2012

**kaam aa sakin na apanii vafaayen to kyaa karen
ik bevafaa ko bhuul na jaayen to kyaa karen

kaaf/noon**

Re: Bait- baazi May 2012

I loveeee this oneeee

Kabhi Kabhi Yaad Mein Ubharte Hai NaQsh-E-Maazi Mite Mite Se,

Wo Aazmayish Si Dil-O-Nazar Ki, Wo Qurbatein Si Wo Faasle Se

Re: Bait- baazi May 2012

*YooN mohabbat say na day mairi mohabbat ka jawaab
Yay sazaa sakht hay thouree si reyaet ker day
*

daal/yeee

Re: Bait- baazi May 2012

Ye dard-e-mohbt k qissey
Ye tarz-e-taghafful k shikwe
Tum ro k zuban par latey ho
hum hans k guzara karte he

Re: Bait- baazi May 2012

ye dunia k jhagre.ghar k qisse.kam ki baten
bala har ek tal jae agar tum mlne aa hao

alif/wao

Re: Bait- baazi May 2012

Watan Se Be Watan Ho Kr Mahaz Apna Watan Ho Ga,
Marien Ge In Paharun Mei, BARF Apna Kafan Ho Ga .

Re: Bait- baazi May 2012

guzra hun jis taraf se bhi pathar lage mujhy
esey bhi kia the laal-o-javar lagye mujy

HAFEEZ JALANDHRI

meem/yi

Re: Bait- baazi May 2012

***merii umr se na simat sake mere dil mein itane savaal the*
**tere paas jitane javaab the terii ik nigaah mein aa gaye

gaaf/ye****

Re: Bait- baazi May 2012

**yeh ajab qiyamatain hain tairee rahguzar man guzraan
na howa keh murr miteeN hum na howa keh jii uthain hum

hay / meem**

Re: Bait- baazi May 2012

***Mujhey Yaqeen tou nahin magar Yahi sach hai*
**Mein terey waastey Umrein guzaar sakti hoon

hey/noon****

Re: Bait- baazi May 2012

hay bus kay her ik unn kay isharay main nishaan aur
kartay hain muhabbat to guzarta hai gumaan aur

Re: Bait- baazi May 2012

***Aaaj palkon ki munderon pe bohat ronaq hai *
**dekh sakte ho toh ashkon ka charagan dekho

daal/wao****