Re: Bait Baazi for the month January 2011
me ne jaise likha tha wese hi hai ![]()
**ye kahan kii dostii hai ke bane hain dost naaseh
koi chaara-saaz hotaa, koi gham-gusaar hotaa **

**ok BOSS! ![]()
**
**o lafz-o-bayaaN meN chhipne_waale!
ab qasd hai aur Khaamshii ka?
AsGhar GonDvii
ALIF se**
Re: Bait Baazi for the month January 2011
iss qadar zarf to rakhtay hain dunya walay
zindagi cheen k jeenay ki dua daitay hain
Re: Bait Baazi for the month January 2011
**nashah ke parde meN hai maHv-e-tamaashaa-e-dimaaGh
bas k rakhtii hai sar-e-nashv numaa mauj-e-sharaab
Ghalib
BE se**
Re: Bait Baazi for the month January 2011
*bu.e gul ban k kabhi naghma-e rangeen ban k
dhoohnd letaa hai tera husn-e khud aara mujhko
*
Re: Bait Baazi for the month January 2011
*vahi phir mujhe yaad aane lage hain *
** jinhen bhulaane mein zamaane lage hain **
"yeh"
Re: Bait Baazi for the month January 2011
**yeh mujh se poochhiye kia justuju men lazzat hai
fazaa-e-dahr meN taHleel ho gayaa huN maiN
AsGhar GonDvii
NOON se**
Re: Bait Baazi for the month January 2011
*nahin nigaah mein manzil to justaju hee sahi
nahin visaal mayassar to aarazu hee sahi *
"Yeh"
Re: Bait Baazi for the month January 2011
**yaa to miT jaaiye yaa miTaa diijiye
kiijiye jab bhii saudaa, kharaa kiijiye!
Wajidah Tabassum
YE se**
Re: Bait Baazi for the month January 2011
ye mere ishq kii majabuuriyaN ma'az-allaah
tumhaaraa raaz tumhiin se chhupaa rahaa huuN maiN
"noon"
Re: Bait Baazi for the month January 2011
Next: "Tay"
Re: Bait Baazi for the month January 2011
tumhaare Gam kaa mausam hai abhii tak
lab-e-tashnaa pe shabanam hai abhii tak
"kaaf"
Re: Bait Baazi for the month January 2011
Koi tau baat hai us mein 'Faiz'
Har khushi jis per luta di hum ne ...
Next: "Ye"
Re: Bait Baazi for the month January 2011
ye andheraa ye talaatum ye havaaon kaa Kharosh
is mein taaron kii subuk narm ziyaa kyaa karatii
talKhii-e-ziist se ka Davaa huaa aashiq kaa mizaaj
nigaah-e-yaar kii maasoom adaa kyaa karatii
"yey"
Re: Bait Baazi for the month January 2011
Yeh dil udaas hai jab se khabar huwi
Milte ho tum khuloos se har ajnabi ke saath ...
*
Next: *"Hay"**
Re: Bait Baazi for the month January 2011
ham ke Thahare ajanabi itane madaaraton ke baad
phir bane ge aashnaa kitni mulaaqaton ke baad
Re: Bait Baazi for the month January 2011
Dooreyaan bahut hain per itna samajh lo
Paas reh kar bhi koi rishta khaas nahe hota ...
Next: "Alif"
Re: Bait Baazi for the month January 2011
ata hai yad mujhko guzara hua zamana
** wo baagh kii bahaaren wo sab ka chah-chahana**
lagatii ho choT dil par, ataa hai yaad jis dam **
** shabnam ke ansuon par kaliyon ka muskurana
Re: Bait Baazi for the month January 2011
Ek umer se aadat hai tere shaam-o-sehar ki
Ab kaun teri yaad ke mahol ko badlay ...
Next: "Ye"
Re: Bait Baazi for the month January 2011
ye maanaa bhej dega ham ko mahshar se jahanum me
** magar jo dil pe guzaregi wo dil hii jaanta hoga**