Bait Baazi for the month January 2011

Re: Bait Baazi for the month January 2011

**aaNkhoN meN bas ke dil meN samaa kar chale gaye
Khowaabida zindagii thii, jagaa kar chale gay

Jigar Muradabadi

YE se**

Re: Bait Baazi for the month January 2011

yeh or bat tumhain perhny ki fursat nah ho wagarnah

hum to tery sher main akhbaar bany phirty hain

: noon:

Re: Bait Baazi for the month January 2011

**na sabaa se paak nazar koii tire rang-e-ruKh se hai aashnaa
na raheen-e-minnat-e-shaanah_Kash terii zulf-e-pur_shikan aaj tak

a she'r by my Dad!

KAAF se**

Re: Bait Baazi for the month January 2011

kal na main itanaa buraa thaa kyaa huaa
teraa dil bhii aiinaa thaa kyaa huaa
Alif

Re: Bait Baazi for the month January 2011

ik aalam-e-hairat hai fanaa hai na baqa hai **
hairat bhi ye hai k kya jaaniye kya hai **
** sau baar jala hai to ye sau baar bana hai **
** ham soKhtaa jaanon ka nasheman bhii balaa hai**

Re: Bait Baazi for the month January 2011

yad bhi hain aye MUNEER us sham ki tanhaian
aik medan,aik darakht or tum khuda k samne...

Re: Bait Baazi for the month January 2011

ye kyaa muqaam hai wo nazaare kahan gae
wo phuul kyaa hue wo sitaare kahan gae

Re: Bait Baazi for the month January 2011

*Yeh meri wafa ki hain wehshattain mujhe ekhteyaar-e-junoon nahe
Jahaan naam hum ne suna tera waheen sar ko apne jhuka diya ...
*

Next: "Alif"

Re: Bait Baazi for the month January 2011

asaib zada ghar ka mai wo dar hun
deemak ki tara kha gai jisse dastak ki tamanna...

Re: Bait Baazi for the month January 2011

Ik aisi baarish ho mere sheher pe jo
saaray dil saaray dareeche dho jae<!-- google_ad_section_end -->

Re: Bait Baazi for the month January 2011

yeh kia k sub say bayan dil ki halatain karni
faraz tujh ko na ayin mohabbatain karni

Re: Bait Baazi for the month January 2011

*Ye giea dinon ki baat ha usi rah pay tum meray saath thay
Main naye safar pay hoon gamzan mujhay door ja k sada na day
Mujhay dushmanoon say gila nahi, sila dostoon say mila nahi
Mujhay jitna jeena tha jee chuki, mujhay aur jeenay ki dua na day *

Re: Bait Baazi for the month January 2011

ye ishq ne dekhaa hai ye aql se pinhaan hai
qatra mein samundar hai zara me bayaban hai
ik shorish-e be haasil,ik aatish-e be.parwa
afatkadah dil mein, ab kufr na eeman hai

Re: Bait Baazi for the month January 2011


**
zabardast!

nigaah-e-naaz kii kaifiiyateN haiN dil men vohii
k rooH tan men ho, sheeshah meN jis taraH ho parii

AsGhar Husain "AsGhar" GonDvii
YE se**

Re: Bait Baazi for the month January 2011

*ye raaz hai meri zindagi kaa
*
** pahne hue hun kafan Khudi kaa
marnaa to hai ibtada kii ik baat
jiinaa hai kamaal muntahi kaa
**

Re: Bait Baazi for the month January 2011

*waah bhai, waah...saHeeH kahaa...marnaa to aasaan hai par jeena moHaal aur kamaal hai.
*

**ai paikar-e-maHbuubii! maiN kaise tujhe dekhuuN?
jis ne tujhe dekhaa hai vo diida-e-HairaaN hai

****AsGhar Husain "AsGhar" GonDvii

YE se**

Re: Bait Baazi for the month January 2011

ye rishta-e-khaloos hai tootey gha kis tarha
roohoN ko cho sakay haiN bhla kab kisi k hath

Re: Bait Baazi for the month January 2011

**chhoTii he [haathii waali] se:

huaa jab Gham se yuuN be_Hiss to Gham kia sar ke kaTne kaa?
na hotaa gar judaa tan se to zaanoo par dharaa hotaa

Ghalib

ALIF se**

Re: Bait Baazi for the month January 2011

*ab na Khushi ki hai Khushi *
*Gham kaa bhi ab to Gham nahin *
*maut agarche maut hai *
*maut se ziist kam nahin *

Re: Bait Baazi for the month January 2011

**sorry, but yeh ek she'r hai to ise plz do lines men likheN aise:

*ab na Khushi ki hai Khushi, *Gham kaa bhi ab to Gham nahin
***maut agarche maut hai, * **maut se ziist kam nahin

shukria

naavak andaaz jidhar deeda e jaanaaN hoNge
neem bismil kaii hoNge, kaii be_jaaN hoNge

Momin KhaN "Momin"
YE se
**