Bait Baazi for the month January 2011

Re: Bait Baazi for the month January 2011

*na hoga yak bayaban maandagi se zauq kam mera *
** hubaab-e-mauj-e-raftar hai, naqsh-e-qadam mera **

Re: Bait Baazi for the month January 2011

Ab ay mere ehsaas-e-junoon kya mujhe daina
Dareya ussay baksha hai tau sehra mujhe daina
Tum makaan jab karo taqseem tau yaaroo
Girti huwi deewaar ka saaya mujhe daina ...

Next: "Alif"

Re: Bait Baazi for the month January 2011

nahjany kiun galy sy lapt kar roony laga jub hum barsoon bad mily

jaty huwy jis ny kaha tha ,keh,tum jaisy lakhoon milengy

Re: Bait Baazi for the month January 2011

Ab k mujh ko dekh k wo dekhta reh jayega
Is qadar badlain gay hum, wo sochta reh jayega
Meray chehray per bhi hongay bay rukhi k zawyay
Aisa hai k mujh main mujh ko dhoondhta reh jayega

Re: Bait Baazi for the month January 2011

Amazing :k:

Re: Bait Baazi for the month January 2011

Aag lehra ke chali hey usey aanchal kardo
tum mujhey raat ka jalta hua jangle kardo

"Wao"

Re: Bait Baazi for the month January 2011


*
Waapsi ka koi sawaal nahe
Ghar se nikle hain aanso'oun ki tarah ...*

Next: "Hay"

Re: Bait Baazi for the month January 2011

Sheir to bohat gehra hey merey bhai :k: lekin Hay sey koi sheir yaad nahi aa raha :frowning:

Re: Bait Baazi for the month January 2011

*hasino par na rang aya na phulon mein bahaar aai *
** nahin aaya jo lab par naghmaa-e-mastaana barson se **

Re: Bait Baazi for the month January 2011

Yeh furqaton ka gudaaz mausam yeh wehshaton ka udaas sehra
Mein aise mausam mein kis tarah se muhabbaton ka nisaab likhun ...

Next: "Noon"

Re: Bait Baazi for the month January 2011

na janay kaun say jazbay ki yon taskeen karta hon
bazaahir to tumharay khat jala kar kuch nahi milta

Re: Bait Baazi for the month January 2011

Isi rhythem pe meiN ney bhi aek baar aek ghazal likhi thi... don't remember what exactly that was.

Re: Bait Baazi for the month January 2011

Wah…wah…wah… kya hi kehney :salute:

Re: Bait Baazi for the month January 2011

Apne ehsaas ke sab rang uttar jaane do
Meri umeed mere khwaab bikhar jaane do
Jin ke aane ka bahut shor huwa thaa har-sou
Un hi lamhoon ko chup chaap guzar jaane do ...

Next: "Wao"

Re: Bait Baazi for the month January 2011

wafa k naam pay tum q sanbhal k baith gayay
tumhara zikar nahi, baati ki hai zamanay ki

"yey"

Re: Bait Baazi for the month January 2011


*
Yeh laazim nahe ke hum ko har din yaad karo 'Faraz'
Magar bhool jao is ki bhi ijaazat nahe tumhein ...*

Next: "Noon"

Re: Bait Baazi for the month January 2011

Na'jaaney ho gaya hooN is qadar hassaas meiN kab sey
kisi sey baat karta hooN to aaNkheiN bheeg jaati heiN

"Noon"

Re: Bait Baazi for the month January 2011

Na kar sakeen inhain barsoon ki aandheyaan madham
Yeh kaun chor gaya loh-e-dil pe naqsh qadam ...

Next: "Meem"

Re: Bait Baazi for the month January 2011

merey saath tum bhi dua karo , youn kisi ke saath bura na ho
kahee'n aur ho na yeh haadsa , koi raastey mein juda na ho

Re: Bait Baazi for the month January 2011

**voh dil naseeb hua jis ko daag bhi na milaa
milaa to Ghum-kadaa jis mein chiraaG bhi na mila

"Alif"
**