Re: Bait Baazi --- February 2011
ek bar jo pee lay to rahay roh bhi sulagti
aey ishq tu aisa hai zeher, kis nay suna tha
alif
Re: Bait Baazi --- February 2011
ek bar jo pee lay to rahay roh bhi sulagti
aey ishq tu aisa hai zeher, kis nay suna tha
alif
Re: Bait Baazi --- February 2011
Thanx deadsoul :)
Yun to har lamhaa teri yaad kaa bojhal guzra dil ko mehsoos hui teri kami shaam ke baad
"Daal"
dhoop ki tamazat thi moom keh makan peh
or tum bhi leh aay saibaan sheeshay ka
alif/
Re: Bait Baazi --- February 2011
aj phir tutayn gi taray ghar ki nazuk khirkian
aj phir daykha gaya devana taray shahar mi
YAY
Re: Bait Baazi --- February 2011
Neem-sham ki khaamshi meiN, bheegti sarrkoN pe kal
teri yaadoN ke jalo meiN ghoomna acha laga
"Alif"
Re: Bait Baazi --- February 2011
Aap saahil pe tau maujood thay dekha hoga
Yeh batao ke safeena mera dooba kaise
Dekhi hontoo ki hansi zakhm na dekha dil ka
Tum bhi auroon ki tarah kha gaye dhoka kaise ...
Next: "Ye"
Re: Bait Baazi --- February 2011
ye bhi kya sham-e-mulaqat ai
lab pe mushkil se teri bat ai
"yey"
Re: Bait Baazi --- February 2011
yazdan nay muskara k bari dayr say likha
ek harfay arzu maray dil ki kitab mi
Re: Bait Baazi --- February 2011
last word :NOON:
Re: Bait Baazi --- February 2011
**na tum aaye na chain aayaa na maut aaye shab-e-vada
dil-e-muztar thaa main thaa aur thi betaabiyaan meri
"yeh"
**
Re: Bait Baazi --- February 2011
**Yehi ehwaal rakhney hain, issi halat main rehna hai
Ye hum ne tayy kiya hai, ab issi wehshat main rehna hai
Koi mausum ho, koi rutt ho, tumhare qurbat ki hum ko
Kabhi khwahish main rehna hai, kabhi hasrat main rehna hai
Yey **
Re: Bait Baazi --- February 2011
Ye raah akeli kathti hai yaan saath na koi yaar chale
us paar na jaane kya paaeN, is paar to sab kuch haar chale
"Ye"
Re: Bait Baazi --- February 2011
<!--[if gte mso 9]>
uskey jaaney pe yaad aaya kiya kiya uss sey kehna tha*
*alif''
*
Re: Bait Baazi --- February 2011
*Ik khalish ko haasil-e-umr-e-ravaN rahane diya
jaan kar ham ne unhey na-maharabaN rahane diya
*
"Alif"
Re: Bait Baazi --- February 2011
<!--[if gte mso 9]>
ab to rakhney wo mohabbat ka bharam aatey heiN*
*noon''
*
Re: Bait Baazi --- February 2011
Na ye gham naya na sitam naya ke teri jafaa ka gila kareiN
ye nazar thi pehley bhi muztarib, ye kasak to dil meiN kabhu ki hey
"Ye"
Re: Bait Baazi --- February 2011
<!--[if gte mso 9]>
jo kisi say bhi khafa na ho mujhay us Khuda ki talaash hay
mujhay dekh kar jo ik nazar meray saray dard samajh sakay
jo is qadar ho chaara-gar mujhay us nigaah ki talaash hay
ye''
Re: Bait Baazi --- February 2011
yeh kia kah ek hee toor sy guzry tamam umer
ab to jee chata hai tery siva bhi koi ho
Re: Bait Baazi --- February 2011
*Wo jo aek khaahish-e-khush-basta thi apney dil meiN
barf ki tarha ghuley jaati hey dheerey, dheerey
*
"Ye"
Re: Bait Baazi --- February 2011
Next: "Ye"
Re: Bait Baazi --- February 2011
**YahaN ke logoN ki hey khaasiyat ye sab se bari
habeeb lagatey heiN lekin raqeeb hotey haiN...
"Noon"
**