Re: Bait Baazi --- February 2011
Na jaane kaun sa jazba thaa jis ne khud hi
Meri hi zaat ka dushman bana diya mujh ko ...
Next: "Wao"
Re: Bait Baazi --- February 2011
Na jaane kaun sa jazba thaa jis ne khud hi
Meri hi zaat ka dushman bana diya mujh ko ...
Next: "Wao"
Re: Bait Baazi --- February 2011
Woh Nadiyan Nahi Aansu They Mere
Jinpar Woh Kashti Chalate Rahe
"yey"
Re: Bait Baazi — February 2011
Amazing ![]()
Re: Bait Baazi — February 2011
UZ are you sure you posted it in the right forum?
… Shouldn’t it be in the Jokes forum? ![]()
Re: Bait Baazi --- February 2011
Ye amaawas ki aakhri shab hey
daastaan-e-malaal suntey ja
goonj meiN toot'tey sitaaroN ki
sab orooj-o-zawaal suntey ja
"Alif"
Re: Bait Baazi — February 2011
haan haan meray aaray tirchay google ke sheron ko yeh naam diyaa jaa sakta hai ![]()
Re: Bait Baazi --- February 2011
Ek aur baat mani
Ek aur zakham khaya
Khud hum ne apne hathoon
Dil ka diya bujhaya
"alif"
Re: Bait Baazi --- February 2011
Ab to dil hee nahin mana keh loat kah aaty
warna hum dur badroon ka thikana too tha
** next alif**
Re: Bait Baazi --- February 2011
anaa ki baat hai warna mohabbat ab bhi baqi hai
usey meri mujhe us ki zaroorat ab bhi baqi hai
"yey"
Re: Bait Baazi --- February 2011
yaad k dasht meiN phiRta hooN maiN nangay paa'oon
dekh tu aa k kabhi paa'oon k chhaa'lay Mohsin
'noon"
Re: Bait Baazi --- February 2011
na koi khwab na saheli thi
iss muhabbat main,main akeli thi
ishq main tum kahan k sache thay
jo aziat thi hum ne jheli thi...
Re: Bait Baazi --- February 2011
yi rastay mi kis say mulaqat kar li
kahan rah gaey thay bari raar kar li
:yay
SHAZIA bohat zabar dast
Re: Bait Baazi --- February 2011
Ye Udaasiyaan to meray Ehdd ki alamat hain
Main Hans para to bohot peechay laut jaun ga
"Alif"
Re: Bait Baazi --- February 2011
thanx jia chanda,
ikk umer jinn pe jan ko nichawar kiye rhe
un se hamara haal b pucha nhi gaya
uljhe hue hain log sawalon k dermya(n)
seedhi si ik bat ko samjha nhi gaya...
Re: Bait Baazi — February 2011
Nehaet umda ![]()
Re: Bait Baazi --- February 2011
**
Na mit sakengi ye tanhaiyaN magar aey dost
jo tu bhi ho to tabiyat zaraa bahal jaaey
***"Ye" *
Re: Bait Baazi --- February 2011
yeh bheeni bheeni c hawa main khubshu yeh mehka mehka sa dil mera
najany kiun muj ko mehsoon yeh hota hai wo aaj yahan sy guzry hain
nexy noon
Re: Bait Baazi --- February 2011
yeh bheeni bheeni c hawa main khubshu yeh mehka mehka sa dil mera najany kiun muj ko mehsoon yeh hota hai wo aaj yahan sy guzry hain nexy noon
Sheir ka plot acha hey lekin pata nahi kiuN mujhey is meiN rhythm nazar nahi aaya...
Na kaheiN jahaaN meiN amaaN mili, jo amaaN mili to kahaN mili
merey jurm-e-khaana kharaab ko, terey banda-e-afwo-nawaaz meiN
"Noon"
Re: Bait Baazi --- February 2011
na tum badley na dil badla na dil ki aarzoo badli
main kyunkar aitebar-e-inqalaab-e-asmaan karloon
Re: Bait Baazi --- February 2011
**
Na ghar sey in ko hey nisbat na koi naam sey kaam
diloN meiN bastey, nazar meiN qayaam kartey heiN
jahaa meiN hotey heiN aesey bhi kuch hunar waley
jo ik nigaah sey Amjad ghulaam kartey heiN!**
"Noon"