Bait Baazi --- February 2011

Re: Bait Baazi --- February 2011

**aag puri kahaan bujhi hai abhi
diidaa-e-tar mein tishnagi hai abhi

"yeh"
**

Re: Bait Baazi — February 2011

Zabardast :lajawab:

poor chap :omg:

Re: Bait Baazi --- February 2011

Ye taqdeer ki heiN chaaleiN ke badli hui hey baazi
jo mera chaara-gar tha meiN usi ka hooN nishaana

"Alif"

Re: Bait Baazi --- February 2011

aasaman ro rahaa hai do din se
aap ne kuchh kaha suna hoga

** do qadam par sahi tera kuucha
ye bhi sadiyon ka fasala hoga**

*"alif"
*

Re: Bait Baazi --- February 2011

****Awaaz main thehraao tha, aankhon main namii thee
Aur keh raha tha keh mein ne sub kuch bhula diya
Janay kya uss ko logon se theen shikayattein
Tanhaiyon kay daiss main khud ko basa liya

Alif**
**

Re: Bait Baazi --- February 2011

ummid-e-shifaa bhi nahin bimaar ko tere
Allah se mayuus hua bhii nahin jaataa

"Alif"

Re: Bait Baazi --- February 2011

Aisaa Na Ho Ummeed Se Rishta Hi Toot Jaaye
*** Har Roz Mujhse Vaada-e-Fardaa Na Kijiye***

*** Hamdard Jis Ko Apna Samajhte Rahe Hain Aap***
*** Us Ka Hi Zindagi Mein Bharosa Na Kijiye

"yay "


Re: Bait Baazi --- February 2011

Ye hujoom-e-naa-muradi, gham-e-be'shumaar kab tak
'teree baat kaa bharosah, teraa intizaar kab tak

"Kaaf"

Re: Bait Baazi Month Of February 2011

     yeh  or  bat tum ko hum per bharoosa nahin raha 

  mugar hum bhi hain nayab yeh too ne hee kaha tha

** mod bhai sahab hum sy aap ka gilla door kar dia yeh sy sher kah kar**


** ab aap bhi khalil khan ki tajvez per zara ghoor farmain hum sub shair hazarat ki eyh khawish hai too pori karain **





** next ; alif**

Re: Bait Baazi --- February 2011

                         **koi hasart bhi nahin koi tamana bhi nahin**

** dil wo ansoo jo kisi ankh sy chalka bhi nahin**

** poet ahmed rahi**

** next noon'**

Re: Bait Baazi --- February 2011

na woh hamaray huay na hum apnay rahay
mohabbaton ka ajab karobaar hum nay kia

Re: Bait Baazi --- February 2011

iss rah se chup chup kar guzri rut sabz sunahary phooloon ki

    jis rah peh tum kabhi nily thy ghabray huway sharmay huway


  ye;

Re: Bait Baazi --- February 2011

Ye tishnagi-e-fan hey ke be'chaarge-e-shaoq
so baar mita di teri tasveer banaa ke

"Ye"

Re: Bait Baazi --- February 2011

**Yeh joh mere ankho mein halki se nami rehte hai
yeh tere bichar jane ka malal hee to hai

"ye" **

Re: Bait Baazi --- February 2011

yonhi be sabab na phira karo
koi sham ghar bhi raha karo
wo ghazal ki sachi kitab hai
usay chupkay chupkay parha karo

Re: Bait Baazi --- February 2011

Wo jo us ke samne aa gia wohi roshni main naha gia
ajub us ki hayat e ishq thi ajub us ka rung e jamaal tha

"Alif"

Re: Bait Baazi --- February 2011

wow
khob amal

uskay honay say thi sansain meri dugni shayad
wo bichra to meri umer ghata di uss nay

yey

Re: Bait Baazi --- February 2011

Thanx deadsoul :)

Yun to har lamhaa teri yaad kaa bojhal guzra
dil ko mehsoos hui teri kami shaam ke baad

"Daal"

Re: Bait Baazi --- February 2011

Yeh tu sach hay chup rehnay say pagal-pun berdh jata hay
Lekin pathar kay is shehar main aakhir kis say baat kerain.

Noon

DS kaisay hu?

Sorry I took too long to post :(

Re: Bait Baazi --- February 2011

Here is the one beginning with daal

**Dil-chasp waqiyaa hay kay kaal aik azeez dost
Apnay mafaad per mujhay qurbaan kar gaya...

Khalid main baat baat main kehta tha jaan jis ko** **
Aakhir main wuh shak mujhay bay-jaan ker gaya...

***'Alif'*