Bait Baazi --- February 2011

Re: Bait Baazi — February 2011

laga dain laga dain :omg:

Re: Bait Baazi — February 2011

mene kaha tha sath walon k bachon ko b time de dia karain,abhi tak gay nai na :smilestar:

Re: Bait Baazi — February 2011

awwwwww…rehne dain fara koi faida nai,in ka nick yazeed hai :barbie:

Re: Bait Baazi — February 2011

**yeh such hai! agar yaqeen hota plat kay teray anay ka****

to pohloon ke trhaan hum bhi tere rah mein bikhar jatay **

Re: Bait Baazi — February 2011

chit chaat karne wali timepass main ja k chit chaat kaien :@:

Re: Bait Baazi — February 2011

**Yaad to aati hongi meri batain ab bhi
shelf maiN rakhi hoi kitaboN ki tarah
**
“Hey”

Re: Bait Baazi — February 2011

Dekhtay raho :mocking: mein kisi sher ko kharab ker likh doon gi pata bhi nahi chaley gaa

Re: Bait Baazi — February 2011

Hey dua yaad magar hurf-e-dua yaad naheen
merey naghmaat ko andaz-e-nawa yaad naheen
“noon”

Re: Bait Baazi — February 2011

najaney wo neend k nashay main itna kaise doob jata hai MOHSIN
hum to karwat b badaltay hain to us ki yad ati hai…

Re: Bait Baazi — February 2011

be’chaara…terrible situation na :bummer:

Re: Bait Baazi — February 2011

Yeh Arzo Thi Kay Hum UsKay Saath Saath Chaly’n
Magar Woh Shukhs To Rasta Badalta Jata Hai

Re: Bait Baazi — February 2011

**ya Rab bohat kho chuka hooN ab khoney ki taqat nahiN mujh meiN
yeh jo kuch log meRey hiaN unheN meRa he rehney dey…!!

“ye”

**

Re: Bait Baazi — February 2011

yeh udaas udaas se bazm-o-dar yeh ujaad ujaad si rahguzar chalo hum nahin na sahi magar sar-e koo-e yaar koi to ho

wao

Re: Bait Baazi — February 2011

Wo aek sajda jisey tu giraaN samajhta hey
hazaar sajdoN sey deta hey aadmi ko nijaat

“Tey”

Re: Bait Baazi — February 2011

Tumharay baad in aankhooN main manzarooN kay safeer
Kuch Aisay soyee hain jaisya kay abb uthaiN gay nahi…

Re: Bait Baazi — February 2011

**nahi miltay ho mujh say tum to sab humdard hein meray **
** zamana mujh say jal jaaye agar tum milnay aajao !

wao’’
**

Re: Bait Baazi — February 2011

Wo mujh sey pooch raha tha bataao kesa laga
puraney zakhm ko chorro, ye ghao kesa laga!

“Alif”

Re: Bait Baazi — February 2011

Asaib-zada ghar ka mein woh dar hon ‘Mohsin’
Deemak ki tarah khaa gae jissay dastak ki tamanna …

Next: “Alif”

Re: Bait Baazi — February 2011

**AaNkhoN ko intizaar ke lamhaat soNp kar
neeNdeiN bhi koi ley gaya apney safar ke saath
**
“Hey”

Re: Bait Baazi — February 2011

* Ho gaye do roz mein abaad bhi barbaad bhi Ab tamanna hai yehi aaye na un ki yaad bhi ...*

Next: “Ye”