Re: Bait Baazi --- February 2011
ye fizaa jo gard-o-GubaaR hai meri bekasii kaa mazaarRhai
maiN vo phuul huuN jo na khil saka meri zindagi meiN vafaa kahaa'N
"noon"
Re: Bait Baazi --- February 2011
ye fizaa jo gard-o-GubaaR hai meri bekasii kaa mazaarRhai
maiN vo phuul huuN jo na khil saka meri zindagi meiN vafaa kahaa'N
"noon"
Re: Bait Baazi --- February 2011
*Naam mera na zubaaN per kabhi aaye hergiz
jis se manssoob ho bas us se nibhana ab ke
*
"ye"
Re: Bait Baazi --- February 2011
<!--[if gte mso 9]>
Phir dil sey kabhi jhaank ke bahar nahee dekha
*
*alif''
*
Re: Bait Baazi --- February 2011
**ashkon se bheeg bheeg gai un ki chashm e naz
ham arz e haal keh ke gunaahgar ho gaye
**
Re: Bait Baazi — February 2011
Nice one Muskaan :k:
Ye umr-bhar ka soda, ye kitaabeiN ye risaaley
ik shakhs ki yaadoN ko bhulaaney ke leeye heiN
“Noon”
Re: Bait Baazi --- February 2011
Nahi ab to koi malaal bhi , kisi wapsi ak khayaal bhi
gham-e-bekasi ne mita diya merey dil mein tha agar koi
"yey"
Re: Bait Baazi --- February 2011
**yaad nahin kya kya dekha tha saare manzar bhuul gaye
us kee galiyon se jab laute apna bhi ghar bhuul gaye
"ye"
**
Re: Bait Baazi --- February 2011
*Ye lamha bher ka tassawur to jaan lewa hey
jo yaad aao to ta-umr yaad aao humeiN*
'Noon'
Re: Bait Baazi --- February 2011
neendon ko tarasti hui ankhon main na jhanko
in main bhi kabhikhwabon ki rut aai to hogi
"yey"**
**
Re: Bait Baazi --- February 2011
**yuun teri rahaguzar se divaanavar guzare
kandhe pey apane rakh ke apana mazaar guzare
"ye"
**
Re: Bait Baazi --- February 2011
*yahan chhotey zehn sey log hain, yahan keena parwar se log hain
inhain yaad rehta hai waqeya, tumhey yaad ho ke na yaad ho *
Re: Bait Baazi --- February 2011
**woh dil navaz hai nazar shanas nahin
mera ilaaj mere charagar ke paas nahin
"noon"
**
Re: Bait Baazi --- February 2011
Nahi ab jahaaN pe nishaan bhi
yahaN log bhi the, makaan bhi
meri aarzu meiN jeeye ga wo
mujhey kab tha aesa gumaan bhi
"Ye"
Re: Bait Baazi --- February 2011
<!--[if gte mso 9]>
ghamoon ki dhoop k agay khushi ke saey hain *
Re: Bait Baazi --- February 2011
Yai hangaamay musalsil ho rahay hain...
Magar ham hain kay ab tak so rahay hain...
Khudaara naunihaaloan ko bachaoo...
Naiee tehzeeb may gum ho rahay hain...
'Noon'
Re: Bait Baazi --- February 2011
na gor-e-Sikandar, na rahey qabr-e-Dara
mite namiyo'n ke nishaa'n kaise kaise
"yey"
Re: Bait Baazi — February 2011
ye zindagi rahi toh phir honge mehw-e-guftagoo
or guzar gay iss raat to apna slam akhri hai…
ye mene apni taraf se lagaya hai ![]()
Re: Bait Baazi --- February 2011
haan naa yey se sher khatan hotay jaa rahey hain mein bhi laga doon eik brilliant idea hai :D
Re: Bait Baazi — February 2011
Kya ho raha hey idhar
meiN sab deikh raha hooN ![]()
Re: Bait Baazi --- February 2011
Layain yeh hathora idher day dain, acha nahi lagra ... bachooN ko kuch khail-kood bhee kernay diya keraiN