Re: Bait Baazi --- February 2011
najaney wo neend k nashay main itna kaise doob jata hai MOHSIN hum to karwat b badaltay hain to us ki yad ati hai...
sharabi kaheen ka nah ho too
Re: Bait Baazi --- February 2011
najaney wo neend k nashay main itna kaise doob jata hai MOHSIN hum to karwat b badaltay hain to us ki yad ati hai...
sharabi kaheen ka nah ho too
Re: Bait Baazi --- February 2011
**yeh kis ke sog mein shoridaa-haal phirta huun
voh kaun shakhs tha aisa kay mur gaya mujh mein
"noon"
**
Re: Bait Baazi --- February 2011
<!--[if gte mso 9]>
merey dard ki tab-o-taab mein mujhe dekhna
kisi waqt shaam-e-malaal mein mujhe sochna
kabhi apne dil ki kitaab mein mujhe dekhna
*alif''
*
Re: Bait Baazi --- February 2011
Ab tak na khul saka ke merey ru'baru hey kon!
kis sey mukaalma hey, pas-e-guftagu hey kon!
kis ki nigah-e-lutf ney mosam badal deeye!
fasl-e-khizaaN ki raah meiN ye mushk'bu hey kon!
"Noon"
Re: Bait Baazi --- February 2011
**Nafrat bhi dilnasheeN hay jo ulfat kamaal hai
Us shakhs ki saraab rafaaqat kamaal hai
'Ye'
**
Re: Bait Baazi --- February 2011
*YuN to te ho bhi chuka tark-e-mohabbat karna
kitna mushkil hey magar khud usey rukhsat kerna
*
"Alif"
Re: Bait Baazi --- February 2011
Oonchi awaaz maiN tu usnay kabhi baat na ki
** KhafgiyooN main bhee woh lehjaa raha komal ki terhaaN**
Re: Bait Baazi --- February 2011
Na gila kia, na khafa huye, yunhi raastay main juda huye
** na tu be-wafa, na main be-wafa, jo guzer gaya so guzer gaya
alif''
**
Re: Bait Baazi --- February 2011
aasmaan Per Ak Adhora Chaand Or Bikhray Najoom
Intazaar Subho Main Ginta Raha Main Dair Tak
"kaaf"
Re: Bait Baazi --- February 2011
**kabhi kabhi yuun bhi hum ney apney hee ko bahlaayaa hai
jin baaton ko Khud nahin samajhe auron ko samajhaayaa hai
"ye"
**
Re: Bait Baazi --- February 2011
*Yaaron ki khamoshi ka bharam kholna para
Itna sakoot tha ke mujhe bolna parra
*
"Alif"
Re: Bait Baazi --- February 2011
Oonchi awaaz maiN tu usnay kabhi baat na ki ** KhafgiyooN main bhee woh lehjaa raha komal ki terhaaN**
bohat khoob :)
Re: Bait Baazi — February 2011
Ab yeh bhi nahi hai ke her eik dard mitaa dein
Khuch dard kalejay sey laganey ke liye hian
:yey:
Re: Bait Baazi --- February 2011
**yeh aur baat teri gali mein na aayen hum
lekin yeh kya ki shahar tera chhor jaayen hum
"meem"
**
Re: Bait Baazi --- February 2011
**milta tha mujhe wo kabhi pal pal ke farq se
phir rafta rafta farq yeh saalon main agaya
phir youn howa ke ankh se ansoo nikal pare
chehra kabhi jo iska khayalon mian agaya
alif''
**
Re: Bait Baazi — February 2011
wah, bauhat khoob ![]()
Re: Bait Baazi --- February 2011
**aaj unhen kuch is tarah jee khol kar dekha kiye
ek hee lamhe mein jaise umar bhar dekha kiye
"ye"
**
Re: Bait Baazi --- February 2011
^
Thanks :-)
**Yoon dekhtey rehnaa ussey acha nahiN mohsin
Wo kaanch ka paikar hai aur pathar teri aankhein
noon''
**
Re: Bait Baazi --- February 2011
*Na tarapta yeh dil na roti ankhain na labon pe naam aur koi hota
hum teri tamana he kyun krte agar tere jaisa koi aur hota
*
Alif
Re: Bait Baazi --- February 2011
uss ko neendon k nagar mein na basao Mohsin
** warna shaamil woh hi neendon k khalal mein hoga
alif''
**