Re: Bait Baazi --- February 2011
Yeyhi bohat hay key tum deykhtay ho sahil say ...
Safeena doob raha hay, to koee baat nahi ...
"noon"
Re: Bait Baazi --- February 2011
Yeyhi bohat hay key tum deykhtay ho sahil say ...
Safeena doob raha hay, to koee baat nahi ...
"noon"
Re: Bait Baazi --- February 2011
*Na ji bhar ke dikha na baat ki
barri aarzu thi mulaaqaat ki
*
"ye"
Re: Bait Baazi --- February 2011
ye pehley soch lo phiR oR bhi tanha na ho jana
usey paney ki khawahish meiN usey chooney ki khawahish meiN
"noon"
Re: Bait Baazi --- February 2011
na ho unn pe jo mera bus nahi , ke yeh Aashqi hai Hawas nahi
main unhi ka tha , main unhi ka hoo'n , wo merey nahi to nahi sahi
"yey"***
Re: Bait Baazi --- February 2011
na ho unn pe jo mera bus nahi , ke yeh Aashqi hai Hawas nahi main unhi ka tha , main unhi ka hoo'n , wo merey nahi to nahi sahi
"yey"***
zabardast she'r...shukria
Re: Bait Baazi --- February 2011
zabardast she'r...shukria
chalein isi khushi mein yey se sher kahiye :D
BTW thanks :)
Re: Bait Baazi --- February 2011
chalein isi khushi mein yey se sher kahiye :D
BTW thanks :)
mujhe to YE se she'r aate hii nahiiN...saare "alif aur ye" se ash'aar maiN likh chukaa :D
Re: Bait Baazi — February 2011
to pechlay maheenay jo likhay they woh hi likh daalein sometimes jab mein bhool jaati hoon jo recent ghazlein logo ney post ki hoti hain unhi mein se parh ker likh deti hoon ![]()
Re: Bait Baazi — February 2011
hahaha…maiN ne ek baar is tarz kii bait baazii par apnii ek muKhlisaana aur aajizaana raaye di thii k iskii agar haiyat badal dii jaaye to mazaa aayegaa magar merii raaye kisi ko pasand hii nahiiN aayii…is liye maiN ne Hissa lenaa hii chhoR diyaa…aapke she’r ko dekh kar daad dene chalaa aayaa bas ![]()
Re: Bait Baazi — February 2011
mein CM hoon naa aap apna mashwara public mein jharnay ki bajaye pm mein bhejien I will look into it.![]()
Re: Bait Baazi — February 2011
oops! its ok…koi gal nahiiN … vo to az rah e tazkirah zikr aa gayaa varna gilaa maqsood nahiiN thaa ![]()
Re: Bait Baazi — February 2011
ab itni mushkil ke baad jab gila ker hi diya hai to pm bhi bhejien ![]()
Re: Bait Baazi --- February 2011
**yeh shiishe yeh sapne yeh rishte yeh dhaage
kise kyaa Khabar hai kahaan Tuut jaayen
muhabbat ke dariyaa mein tinkay vafaa kay
na jaane ye kis mor par Duub jaayen
"noon"
**
Re: Bait Baazi --- February 2011
najanay kon duwaoon may yaad rakhta hai
may doobta hoon samandar uchaal deta hai...
"YEH"
Re: Bait Baazi --- February 2011
**yak nazar besh nahin fursat-e-hasti Gaafil
garmi-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hone tak
"qaaf"
**
Re: Bait Baazi --- February 2011
guRuub-e-shaam he se Khud ko yuuN mahasuus kaRtaa huuN
k jaise ik diyaa huuN auR havaa ki zad pe rakhaa huuN
"noon"
Re: Bait Baazi --- February 2011
**na karataa zabt main naalaa to phir aisaa dhuuan uthtaa
kee niche aasmaan ke aur nayaa ik aasmaan hotaa
"alif"
**
Re: Bait Baazi --- February 2011
Aek shakhs ko kho deney ka dar kiuN nahi jaata
ye khaof merey dil sey utar kiuN nahi jaata!
"Alif"
Re: Bait Baazi --- February 2011
ab so jao k sapne intezar kerte hain
ach nhin yun khwabon se dushmani karna...
Re: Bait Baazi --- February 2011
Andheri raat mein yeh saya ho nahi sakta
ye kon he jo mere sath sath chalta hey!
"Ye"