Re: Bait Baazi — February 2011
usko na batana chori kia ![]()
Re: Bait Baazi — February 2011
usko na batana chori kia ![]()
Re: Bait Baazi --- February 2011
Ya tho tera tazkira karey har shakhs
ya koyi hum se gooftagoo na karey
"Ye"
Re: Bait Baazi — February 2011
Kis ko? ![]()
Re: Bait Baazi — February 2011
musafiron ko ![]()
Re: Bait Baazi — February 2011
Don’t tell me ye musafir ka sheir hey… ya hey??? ![]()
Re: Bait Baazi — February 2011
jee nai uska nai hai but fav file me se hai ![]()
Re: Bait Baazi --- February 2011
^ Fine...nahi bataooN ga...tension not :)
Re: Bait Baazi — February 2011
last word tension not per iss se to koi sher nai banta ![]()
Re: Bait Baazi — February 2011
Last word Ye hey… ziaada notanki nahi chahiye ![]()
Re: Bait Baazi — February 2011
kis ne ki notanki???ab mera naam na le le koi ![]()
yad wo aye to apna wajood he na mile
na yad aye to mujh ko thakan si ho…
Re: Bait Baazi --- February 2011
**voh aaj phir yahi dohara ke chal diya 'Bani'
main bhuul ke nahin ab tujh se bolane vala
"alif"
**
Re: Bait Baazi --- February 2011
Ishq ko shirk kii had tak na barrhaa
Yuun na mil hum se Khudaa ho jaise
"Ye"
Re: Bait Baazi --- February 2011
yeh zindagi sach me ajeeb hai
kise kaisi mile, apna apna naseeb hai
"yey"
Re: Bait Baazi --- February 2011
ye muhabbat ka shajaR hai ye yahiN lag jaye ga
tum bajaiye nakl-e-aab-o-gul badal kar daikh lo
"wao"
Re: Bait Baazi --- February 2011
**voh aayenge aaj aye bahaar-e-muhabbat
sitaaron ke bistar mein kaliyaan bichha dein
"noon"
**
Re: Bait Baazi --- February 2011
*Wo har baar nazraiN chura leta hey mujh se Faraz
meiN ney kaghaz per bhi bana ker dhaikhi ankheiN us ki *
"Ye"
Re: Bait Baazi — February 2011
wah ![]()
Re: Bait Baazi --- February 2011
**yeh fizaa joh gard-o-Gubaar hai meri bekasi kaa mazaar hai
main voh phuul huun jo na khil sakaa meri zindagi mein vafaa kahan
"noon"
**
Re: Bait Baazi --- February 2011
najanay kub sai apna aap ko hum to badal baithay
yai qismat k sitaRay kiyon badalna ko nahi aa-ay
"ye"
Re: Bait Baazi --- February 2011
**yeh soch kar ki teri jabeen par na bal parey
bas duur hee se dekh liyaa aur chal parey.
"yey"
**