Re: Bait Baazi --- February 2011
**na gaNvaao naavak-e-niim-kash, dil-e-reza reza gaNwaa diyaa
jo bachey haiN sang samait lo, tan-e-daaG daaG luTaa diyaa
alif''
**
Re: Bait Baazi --- February 2011
**na gaNvaao naavak-e-niim-kash, dil-e-reza reza gaNwaa diyaa
jo bachey haiN sang samait lo, tan-e-daaG daaG luTaa diyaa
alif''
**
Re: Bait Baazi --- February 2011
**
Aisa dariya jo kisi aur samandar mai girey
Is se behter hai ke mujhko mera sehra la dey**
Re: Bait Baazi --- February 2011
ye
Re: Bait Baazi --- February 2011
**yuuN sajaa chaaNd k jhalkaa terey andaaz kaa rang
yuuN fazaa mahakii ki badla merye ham-raaz kaa rang
Gaaf''**
Re: Bait Baazi --- February 2011
*Gul hain ke sulagte hain,sabzaa hai ke jaltaa hai
Ye kis nay gulistaa'n mein ik aag see bersaa dee *
Re: Bait Baazi --- February 2011
**ye kis Khalish ne phir is dil meiN aashiyaanaa kiyaa
phir aaj kis ne suKhan ham se Gaayebaanaa kiyaa
alif''**
Re: Bait Baazi --- February 2011
Aey ishq aa phir koi tajruba karain
dil bholnay laga hai purani kahaniyan
Re: Bait Baazi --- February 2011
**nahiN nigaah meiN manzil tou justajuu hii sahii
nahiN visaal mayassar tou aarazuu hii sahii
ye''**
Re: Bait Baazi --- February 2011
yaad kar k mujhay takleef he hoti hogi
qissaa ho purana sa, bhula day mujhko
Re: Bait Baazi --- February 2011
*wo butoN ne Daale haiN was-wase k diloN se Khauf-e-Khuda gayaa
wo paRii haiN roz qayaamateiN k Khayaal-e-roz-e-jazaa gayaa
* **jo nafas thaa Khaar-e-gul banaa jo uThaa to haath qalam hue
wo nishaat-e-aah-sahar gaii wo waqaar-e-dast-e-duaa gayaa
alif''**
Re: Bait Baazi --- February 2011
iss say pehlay k bewafa hojayen
q na aey dost juda hojayen
tu heray say ban gaya pathar
hum bhi janay kia se kia hojayen
Re: Bait Baazi --- February 2011
**na ghar baar na koi Thikaanaa Khaanaabadosh hain
apanaa kaam hai chalate jaanaa Khaanaabadosh hain
"noon"
**
Re: Bait Baazi --- February 2011
**na wo rang fasl-e-bahaar ka na ravish wo abr-e-bahaar kii
jis ada sey yaar they aashnaa wo mizaaj-e-baad-e-saba gaya
abhii baadabaa.N ko tah rakho abhii muzatarib hai ruKh-e-hawa
kisii raaste meiN haiN muntazir wo sukuN jo aake chala gaya
alif''**
Re: Bait Baazi --- February 2011
ab k hum bichray to shayad kabhi khwabon me milain
jiss tarah sokhay huay phool kitabon me milain
Re: Bait Baazi --- February 2011
**na tum badley na dil badlaa naa dil ki aarzoo badli
main kyun kar aitebar-e-inqalaab-e-asmaan kar louN
noon''**
Re: Bait Baazi --- February 2011
na janay konsay jazbay ki yun taskeen karta hon
bazaahir to tumharay khat jala kar kuch nahi milta
Re: Bait Baazi --- February 2011
Apke aane se zindagi kitni khubsoorat hai,
Dil me basayi hai jo woh apki hi surat hai,
"yey"
Re: Bait Baazi --- February 2011
Yeh bhi kya manzar hai barhtay hain na ruktay hain qadam...
Tukk raha hoon door say manzil ko main, manzil mujhay
Re: Bait Baazi --- February 2011
**yeh dua e shifa hai ya kuch aur
us ne bheja hai phool nargis ka
alif''**
Re: Bait Baazi --- February 2011
Insaan ke kirdar ki do hi manzilein hain
dil meiN utaR jaana ...ya Dil se utaR jaana
"alif"