Bait Baazi --- February 2011

Re: Bait Baazi --- February 2011

Ye Teri Judai Ka Gham Nahi, Ye Silsaly To Hain Roz K,
Teri Zaat Iska Sabab Nahi, Kai Din Se Yunhi Udas Hon

Re: Bait Baazi --- February 2011

Itna udaas na howa karein. :D

Re: Bait Baazi --- February 2011

**Na Fana Meri Na Baqa Meri Mujhy Ay Shakeel, Na Dhoondiye

Main Kissi Ka Husn E Khayal Hon Mera Kuch Wajood E Adam Nahin.

"noon"
**

Re: Bait Baazi --- February 2011

na mere lutf pe heraaN na apni uljhan par
mujhe yeh shakhs to her shakhs se juda he lagay

Re: Bait Baazi — February 2011

Classic :lajawab:

Re: Bait Baazi --- February 2011

*Ye lamha bher ka tassawur to jaan lewa hey
jo yaad aao to ta-umr yaad aao humeiN *

"Noon"

Re: Bait Baazi --- February 2011

^ awesome Amal..

Re: Bait Baazi --- February 2011

Udasioun ka koi sabub ho to batlain tumhain

keh hum udas kabhi kabhi be sabab bhi rehty hain

Re: Bait Baazi --- February 2011

^ I believe it should be started with** 'Noon*' and* NOT 'Alif'** ...

Re: Bait Baazi --- February 2011

**Arif **aap ho kidhar boss???? :@:

Re: Bait Baazi --- February 2011

Yaheen tau hoon Amal ... :)

Re: Bait Baazi — February 2011

Suleimani topi pehni hui hey kya? Nazar hi nahi aatey… :naraz: … wesey tabiat to theek hey na?

Re: Bait Baazi --- February 2011

*Nishan-e-rah se hat kar chale to ho lekin
bhatak gaya jo kahiN karvaN to kiya hoga *

"Alif"

Re: Bait Baazi --- February 2011

ankhon me raha dil me utar kar nahi dekha
kashti k musafir nay samandar nahi dekha
pathar kehta raha mjhay mera chahnay wala
me moam hon us nay mjhay cho kar nahi dekha

Re: Bait Baazi --- February 2011

Is husn kaa shevaa hey, jab ishq nazar aaye
parde meiN chale jaanaa, sharmaaye hue rehna

"Alif"

Re: Bait Baazi --- February 2011


aya hi tha yaad kay ankhain chalak gaye
ansoo kisi ki yaad mai itnay kareeb hain

ye

Re: Bait Baazi --- February 2011

yuuN sajaa chaaNd ki jhalakaa teRe a.ndaaz kaa rang
yuuN fazaa mahakii ki badalaa meRe hamaraaz kaa rang

"gaaf"

Re: Bait Baazi --- February 2011

Gaye dinoN ka suragh lay kar, kidhar say aaya kidhar gaya woh
Ajeeb manoos ajnabi tha, mujhey to hairaan kar gaya woh

"hey"

Re: Bait Baazi --- February 2011

**ham ke Thahare ajnabii itni madaaraatoN ke baad
phir baneiN ge aashnaa kitanii mulaaqaatoN ke baad

daal''**

Re: Bait Baazi --- February 2011

**dard ke phul bhi khilate hain bikhar jaate hain
zakhm kaise bhi hon kuchh roz mein bhar jaate hain

"noon"
**