Bait Baazi --- February 2011

Re: Bait Baazi --- February 2011

*Ye bhi aadaab hamarey haiN tumhain kya maloom
hum tumheiN jeet ke harey heiN tumheiN kya maloom *

"Meem"

Re: Bait Baazi --- February 2011

main hazaar tujh se alag rahuN , tu hazaar mujh se juda rahey
kabhi dard ban ke jagaoN ga , kabhi neend ban ke rulaaoN ga

alif''

Re: Bait Baazi --- February 2011

Aaya hey bohat deir meiN wo shakhs par us
jazbaat ki is bheerr meiN deikhooN meiN kidhar sey

"ye"

Re: Bait Baazi --- February 2011

Yeh husn-e-ittefaaq aisa kay nikhri chaandni bhi hai
** Wahi har simt weerani , udaasi , Tishnagi see hai ....**

** ye''**

Re: Bait Baazi --- February 2011

my fav :-)

Re: Bait Baazi --- February 2011

YE ratain bhi kitna ajeeb mizaj rakhti hain…..!
kisi ko mithi nend sulati hain or kisi ko kisi ki yadoon mae rulati
hain
"noon"

Re: Bait Baazi --- February 2011

**na baat poori hui thii k raat toot gayii
adhoore khavaab ki aadhi sazaa meiN jeete haiN

noon''
**

Re: Bait Baazi --- February 2011

                                                          **Na wo haseen Na main khubroo  mughar**** humain**

** ek sath jo bhi dekhy BUS dekhta hee reh jay**




** ye**

Re: Bait Baazi --- February 2011

Yehi hai tadber-e-husn-e-gulshan eywaz guloun ke miley hain kantey
ajeeb qismat ka hai karishma gunha baney hain sawab sare

"ye"

Re: Bait Baazi --- February 2011

**Yeh kiss maqaam pay soojhee tojhay bicharnay kee
Abhee to jaa kay kaheen din sawarnay waalay thay

"yey"
**

Re: Bait Baazi --- February 2011

yaaro kisii qaatil se kabhii pyaar na maango
apane hii gale ke liye talavaar na maango

"wow"

Re: Bait Baazi --- February 2011

**Wo mujhy zindagi Samjhtaa hay
kiya ussay mera et'baar nahiN

noon''**

Re: Bait Baazi --- February 2011

**Na Jaany kon Sa Aansoo kissi Say kia Kah Day

Hum Issi Khiyal Say Nazar Jhukaye Baithy Hain

"noon"
**

Re: Bait Baazi --- February 2011

Nahi ab to koi malaal bhi , kisi wapsi ak khayaal bhi
** gham-e-bekasi ne mita diya merey dil mein tha agar koi**
** tujhey kya khabar ke raat bhar , tujhey dekh paney ko ik nazar**
** raha saath chand ke muntazir teri khirkhiyoo'n ke idher koi**

** ye''**

Re: Bait Baazi --- February 2011

yeh mohabbat bhi ek balaa thehri
hum ko dar hai, wo dar na jaye kahin

Re: Bait Baazi --- February 2011

ye kya kay har kisi say bayaa'n dil ki haltain krni
faraz tujh ko na asakee'n muhabatin karni

ye

Re: Bait Baazi --- February 2011

ye bala ki inyaetain ye ghazab ki meherbani
meri khairyat bhi pochi to kisi aur ki zabani

Re: Bait Baazi --- February 2011

**Yeh Jo Deewany Say Do Chaar Nazar Aaty Hain

In Main Say Kuch Sahab-e-Asraar Nazar Aaty Hain
Kal Jinhain Choo Nahin Sakti thee Farishton Kee Nazar

Aaj Woh Ronaq-e-Bazaar Nazar Aaty Hain.

"noon"
**

Re: Bait Baazi --- February 2011

nend jab Khwabon se pyaarii ho to aise ahad mein
Khwab dekhe koan aur Khwabon ko de tabeer konn....Perveen Shakir

Next "Noon"

Re: Bait Baazi --- February 2011

nakam rahay nashaad rahay
taqdeer bhi hum say rooth gayi
jis shakh pe humnay hath rakha
woh shakh wahin say toat gayi