Re: Bait Baazi — February 2011
kiun koi shak
Re: Bait Baazi — February 2011
kiun koi shak
Re: Bait Baazi — February 2011
Pehley tha, ab nahi hey :no:
Aek baat, aap ko aslah muft milta hey ya bazaar sey ba’reaet? ![]()
Re: Bait Baazi --- February 2011
aby ghoor sy dekh made in usa hai saara aslah
Re: Bait Baazi --- February 2011
wo abhi iss taraf sy guzra ** yeh zameen asmaan c lagti hai** ** pyar karna bhi jurm hai shahid** ** aaj duniya khafa c lagti hai**
*Ye jaan kar bhi ke donoN ke raaste the alag
ajeeb haal tha jab us sey ho rahey the alag *
"Gaaf"
Re: Bait Baazi --- February 2011
Next: "Ye"
Re: Bait Baazi --- February 2011
Yun daikhtey rehna usey acha nahi Muhsin !
Woh kaanch ka paiker hai to pathar teri Aankhain
Re: Bait Baazi — February 2011
**
Arif **bhai aaj aap wohi kar rahey ho jo Shahid Afridi karta hey, agar chal jaey to
… amazing sheir :k:
Re: Bait Baazi --- February 2011
Na-jane kyon hai lekin dekhne ki tum ko aadat hai
Meri yeh be-wajah aadat chura do phir chale jaana
Mere in roz-o-shab ka faqat unwaan bas tum ho
Mujhe tum dosra unwaan la do phir chale jaana ...
Next: "Alif"
Re: Bait Baazi --- February 2011
aazaadiyaaN kahaaN vo ab apane ghoNsale kii
apanii Khushii se aanaa apanii Khushii se jaanaa....
Re: Bait Baazi --- February 2011
**Uss nay apna bana k chhoR diya
kya aseeri thi , kya Rihaai hay
ye''**
Re: Bait Baazi --- February 2011
YazdaaN ne muskura ke barri dair main likha
aik lafz arzoo mere dil ki kitaab meiN
"Noon"
Re: Bait Baazi --- February 2011
na jaane kaun sii majaburiyo.n kaa qaidii ho
vo saath chho.D gayaa hai to bevafaa na kaho
Re: Bait Baazi --- February 2011
Woh tera hijar ki shab phone rakhne se zara pehlay
Bahut rotay huwe kehna muhabbat mar nahe sakti ...
Next: "Ye"
Re: Bait Baazi --- February 2011
Ye jo zindaggi ki kitaab hai
Ye kithaab bhi, kia kithaab hai
Kaheen ik haseen sa kwab hai
Kaheen jaan leva aazaab hai
next "ye"
Re: Bait Baazi --- February 2011
*yaad rakhna mujhy dhundty phiro geh ek din *
** jub yeh hum zindgi choor jain geh**
** hey**
Re: Bait Baazi --- February 2011
Hey duwa yaad magar harf-e-duaa yaad nahiN
mere naghmaat ko andaz-e-nawa yaad nahiN
meiN ne palkon se dar-e-yaar pe dastak di hey
meiN wo sa'el hooN jisey koi sada yaad nahiN
"Noon"
Re: Bait Baazi --- February 2011
**na koi gham khizan ka hai na khuahish hai bahaRon ki
hamaRay saath hai Amjad kisi ki yaad ka mousam
"meem"
**
Re: Bait Baazi --- February 2011
MeiN maqtal meiN bhi qismat ka sikandar nikla
qurra-e-faal merey naam ka aksar nikla
tha jinheiN zo'm wo darya bhi mujhi mein doobey
maiN jo sehra nazar aata tha samandar nikla
"Alif"
Re: Bait Baazi --- February 2011
Un ki yaadoon ke jo aakhri thay nishaan dil tarapta raha hum mitaatay rahe
Khat likhay thay jo us ne kabhi pyar mein un ko parhtay rahay aur jalatay rahe ...
Next: "Ye"
Re: Bait Baazi — February 2011
yeh ajeeb khel hai ishq ka main ne aap dekha yeh mujzah woh jo lafz mere guman me the woh teri zaban pe aa gae Ye :chai: