Re: Bait Baazi — February 2011
yeh soch lo ab aakhri saya hai mohabbat
is dar se uthoge to koi dar na milega
Alif.
Re: Bait Baazi — February 2011
yeh soch lo ab aakhri saya hai mohabbat
is dar se uthoge to koi dar na milega
Alif.
Re: Bait Baazi — February 2011
Inhi patharoon par chal kar asakoo to aoo mere ghar kay rastay mai koi kehkishaa'n nai haiye ![]()
Re: Bait Baazi — February 2011
**yeh udaasiyon ka mausam kahin raaegaan na jaye kisi zakhm ko kuredo kisi dard ko jagaao**Wao.
Re: Bait Baazi — February 2011
wo mujh se pooch raha tha batao kaisa laga tum aglay zakhmon ko choro ya ghaao kaisa laga ujab sawal kia aandhioan ne pattaon se shajar se tuut k girna batao kaisa laga![]()
alif
Re: Bait Baazi — February 2011
Aaj bhi us ki aankhoon mein raaz wohi thaa
Chehra wohi thaa … Chehray ka libaas wohi thaa
Kaise us ko Bewafa keh doon yaaroo
Aaj bhi us ke dekhne ka andaaz wohi thaa …
Next: “Alif”
Re: Bait Baazi — February 2011
**Aay hey bohat deir meiN wo shakhs par usko
jazbaat ki is bheerr meiN deikhooN meiN kidhar sey
**
“Ye”
Re: Bait Baazi — February 2011
**yeh theek hai k teri bhi neendeiN ujaR gaeN
tujh sey bichaR k hum say bhi soya nahi gaya
alif’’
**
Re: Bait Baazi — February 2011
Ab dustarus main kya hay, ba’juz ek malaal kay
Ay umer-e-raiegaan isay rakhna sanmbhaal kay
‘Ye’
Re: Bait Baazi — February 2011
Lovely :k:
Ye saari umr kis aa’shuftagi meiN raegaaN kar di
us ko yaad rakha hey jisey dil sey bhulaana tha
“Alif”
Re: Bait Baazi — February 2011
**Abhi Ye Zakhm Taaza Hai Abhi Kuch Din Guzarnay Do
Abhi Uss Bewafa Ki Yaad Main Dil Ko Behelnay Do
‘wao’
**
Re: Bait Baazi — February 2011
One of my favourites…
Re: Bait Baazi — February 2011
thanx fara ji ![]()
**Wo kitney roz dil meiN bekali aabaad rekhey ga
rahey ga aur kitney din khafa maaloom ker leiN ge **
“Ye”
Re: Bait Baazi — February 2011
**Yehi soch kar uski har baat ko sach mana hai Faraz
Kay itnay khubsoorat lub jhoot kese bolen gay?
‘ye’
**
Re: Bait Baazi — February 2011
**yeh shab-e-firaq ye bebasi hain qadam qadam pey udaasiyaan
mera saath koi na de sakaa meri hasaraten hain dhuaan dhuaan
“noon”
**
Re: Bait Baazi — February 2011
na shikayaten na gila kare
koi aisa shaKhs hua kare
jo mere liye hi saja kare
mujh hi se baten kiya kare
“yey”
Re: Bait Baazi — February 2011
**wo aisa to nahin tha k mujhy choor k chala jata**
** aya ho ga uss ki zindgi main koi muj s b pyara**
Re: Bait Baazi — February 2011
**
Ab tere zikar pe hum baat badal dete heiN
kitni raghbat thi tere naam se pehle pehle
**
“Ye”
Re: Bait Baazi — February 2011
azab hup k kaise hain barishen kya hain
fasil-e-jism giri jab to hosh aya hai
“yey”
Re: Bait Baazi — February 2011
yahi bahut hai k dil us ko dhund laya hai
kisi k sath sahi vo nazar to aya hai
“yey”
Re: Bait Baazi — February 2011
**YuN lagta hey sotey jaagtey auroN ka mohtaaj hooN
aankheiN meri apni heiN par in meiN neend paraai hey **
“Ye”