Re: Bait Baazi --- February 2011
AankheiN khuleiN to jaag uttheiN hasrateiN tamaam
usko bhi kho dia jisey paaya tha khaab meiN
"Noon"
Re: Bait Baazi --- February 2011
AankheiN khuleiN to jaag uttheiN hasrateiN tamaam
usko bhi kho dia jisey paaya tha khaab meiN
"Noon"
Re: Bait Baazi --- February 2011
na JaNai kaYa hai kisi ki uDaaS aankHoN main ...
naZaR ChuRa kaiybe guzRai tu bewafa Na LaGai
"ye"
Re: Bait Baazi --- February 2011
Yaad aatey heiN kai phool sey chehrey mujh ko
rut ho sawan ki to barsaat sey dar lagta hey
dil dukhatey huwey logoN ko khushi hoti hey
is leeye mujhey har ik baat sey dar lagta hey
"ye"
Re: Bait Baazi --- February 2011
ye bhi theek hei wo challa gaya mujhey beech rah mein chor keR
ye bhi theek hei wo na aa'ey ga kabhi but ana ka tor keR
"rey"
Re: Bait Baazi --- February 2011
Rat-jagay barha leye issi hisaab mein hum ne
Muhabbat tum ko hai? Nahe hai? Thee? Nahe thee ? ...
*
Next: *"Ye"**
Re: Bait Baazi --- February 2011
*Ye udaas udaas se baam-o dar,
ye ujaarr ujaarr si rah-guzar.....
chalo hum nahiN na sahi..........
magar sir-e-ku'ey yaar koi tau ho *
"Waa"
Re: Bait Baazi --- February 2011
wo bay khabar mari ankhon ka sabar bhi daykhayn
jo tanz say maray damanay tar ko daykhtayn
NOON
Re: Bait Baazi --- February 2011
Nidhaal karne lagi us ki berukhi warna
Kabhi tau hum bhi hawaoun ka rukh badalte thay ...
Next: "Ye"
Re: Bait Baazi --- February 2011
*Yaad aya bhi to kuch aur hi shidddat se wo
bhool janey ka usey jab bhi irada chahaa *
"Alif"
Re: Bait Baazi --- February 2011
Ajeeb kash-makash hai ke jaan kis ko dain
Woh bhi aa bethay hain aur maut bhi ...
Next: "Ye"
Re: Bait Baazi --- February 2011
^ Wa'qai, barri ajeeb si soorat-e-haal peda ho gai hey :)
yeh keh keh ke hum dil ko behla rahey heiN
wo ab chal chukey heiN, wo ub a rahay heiN
"Noon"
Re: Bait Baazi --- February 2011
Nazuki uskay lubb ki kiya kahiyee
Pankhri ik gulaab ki si hay..
'ye'
Re: Bait Baazi --- February 2011
Yeh dil bura sahi sar-e-bazaar tau na keh
Aakhir tu is makaan mein kuch din raha bhi hai ...
Next: "Ye"
Re: Bait Baazi — February 2011
truckoN waala sheir
…
Re: Bait Baazi --- February 2011
yeh jo raat din mery sath hai wo hee ajnabi keh hain ajnabi
** wo jo dharkanoon ki asaas thy wohi log hum sy bichar gy**
** ye,**
Re: Bait Baazi --- February 2011
*Yehi haalaat ibtadaa se rahey
log hum se khafa khafa se rahey *
"Ye"
Re: Bait Baazi — February 2011
![]()
![]()
![]()
inn 3 main sy jo marzi aay karo
Re: Bait Baazi --- February 2011
Next: "Wao"
Re: Bait Baazi --- February 2011
wo abhi iss taraf sy guzra
** yeh zameen asmaan c lagti hai**
** pyar karna bhi jurm hai shahid**
** aaj duniya khafa c lagti hai**
Re: Bait Baazi — February 2011
aap wa’qai “Ilaaqah Ghair sy” heiN ![]()