Bait Baazi - August 2010

Re: Bait Baazi - August 2010

ae khuda jo bhi mujhey pind-e-shaqibaaii de
uski aankhon mein mere zakhm ki gehraaii de

itna be-sarfa na jaaye mere ghar ka jalna
chashm-e-giriyaan na sahii chashm-e-tamashaaii de

"yeh"

Re: Bait Baazi - August 2010

Yeh tujh ko jaagtay rehne ka shauk kab se huwa
Mujhe tau khair tera intezaar karna hai ...

"Ye"

Re: Bait Baazi - August 2010


Yeh kaun aata hai tanhaaiyon mein jaam liye,
Jalon mein chaandni raaton ka ehtamaam liye!

"yeh"

Re: Bait Baazi - August 2010

:lajawab: MD and AB

but i cant remeber any thing right noe:hinna:

Re: Bait Baazi - August 2010

*
Ya Rab agar yeh jorreyaan asmaan pe banti hain
Tau hoti kyon hain yeh chahatain auroon ko paanay ki
Muhabbat gar hi na hoti sukoon-e-qalb tau hota
Kabhi koi juda hota na koi dil kabhi rota ...*

"Alif"

Re: Bait Baazi - August 2010

ehbaab bhi gairon ki ada seekh gaye hein......
aatey hein magar dil ko dukhane nahin aatey

"yeh"

Re: Bait Baazi - August 2010

Yun milta hai ke jaise khail raha ho deewangi se meri
Ay Khuda koi aisa hunar de ke mitt jaye us ka ghummand ...

"Daal" ڈ

Re: Bait Baazi - August 2010

Darr lagta ha moghy raat ke us pehar sy Mohsin
Utarti hain jab dil ke angan main uski yadien

Re: Bait Baazi - August 2010

Na tau but-kadday ki tallab mujhe na haram ke dar ki talaash hai
Jahaan lutt gaya hai sukoon-e-dil ussi rehguzar ki talaash hai ...

"Ye"

Re: Bait Baazi - August 2010

Yeh aalam shauq ka dekha na jaaye,
Woh but hai ya khuda dekha na jaaye!

"yeh"

Re: Bait Baazi - August 2010

Yun tau pehle bhi huwe us se kaee baar juda
Lekin ab ke nazar aatay hain kuch asaar juda ...

"Alif"

Re: Bait Baazi - August 2010

Aaj uss ne dard bhi apne alehda ker liye
Aaj main roya to mere saath woh roya na thah

*Woh keh khusboo ki tarah phela thah mere chaar su
Main usse mehsus ker sakta thah chu sakta na thah
*

Re: Bait Baazi - August 2010

Ab jis ke dil mein aaye woh paaye raushni
Hum ne dil jala ke sar-e-aam rakh diya ...

"Alif"

Re: Bait Baazi - August 2010

*Abhi to jag rahay hein chiragh rahon ke
abhi hey door sehr,thori door sath chalo
*

Re: Bait Baazi - August 2010

Wafa ke waaday woh saare bhula gaya chup chaap
Woh mere dil ki dewaarain hilla gaya chup chaap ...

"Pay"

Re: Bait Baazi - August 2010

Pareshaan Raat Saari Hai, Sitaro Tum To So Jaao.
Sakoot-e-Marg Taari Hai, Sitaro Tum To So Jaao.

*Hanso Aur Hanstey Hanstey Doob Jaao Khayalon Mein.
Humain Ye Raat Bhaari Hai, Sitaro Tum To So Jaao. *

Re: Bait Baazi - August 2010

Woh dushmani se dekhtay hain, dekhtay tau hain
Mein shaad hoon ke hoon tau kisi ki nigaah mein ...

"Noon"

Re: Bait Baazi - August 2010

**Na mery qalam say likhe gae na mere zaban sy ada hoe
jo nazar sy kehny ki bat ha kise hurf mai na sama'ay ge
koi phool chunta ha kis liay koe khaak hota ha kis liay
yay wakt wakt ki bat ha tujhy zindage bata'ay ge

**

Re: Bait Baazi - August 2010


Yeh raaz ab khula teri naraazgi ke baad
Tu meharbaan nahe tau koi meharbaan nahe
Dil ne teri yaad mein sab kuch bhula diya
Ab taaq hai, chiraag hai, lekin dhuwaan nahe ...***

"Noon"

Re: Bait Baazi - August 2010

*na haaraa hai 'ishq, na duniyaa thakii hai *
*diyaa jal rahaa hai, hawaa chal rahii hai *