Bait Baazi - August 2010

Re: Bait Baazi - August 2010

Na soncha na samjha na seekha na jaana,
Mujhe aa gaya khud-ba-khud dil lagana..

"alif"

Re: Bait Baazi - August 2010

**Us ke nazdeek gham-e-tark-e-wafa kuch bhi nahe
Mutmainn aisa hai woh jaise huwa kuch bhi nahe ... *
*

"Noon"

Re: Bait Baazi - August 2010

Naamaa gaya koii na koii naamaabar gaya
Terii Khabar na aaii zamaanaa guzar gaya

"alif"

Re: Bait Baazi - August 2010

ab k ham bichrey tu shaid khwaboon main milein
jaisey sookhey hoe phool kitaboon main milein..

"noon"

Re: Bait Baazi - August 2010

Na jane ashk se aankhon mein Q hai aaye hue
Guzar gayaa zamaanaa tujhey bhulaaye hue

"ye"

Re: Bait Baazi - August 2010

Yun na mil mujh say khafa ho jaisay
sath chal Moj-e-saba ho jaisay
...!!!

"yeh"

Re: Bait Baazi - August 2010

Yeh bhi kya manzar hai ke na rukhtay hain na barhtay hain qadam
Takk raha hoon door se manzil ko mein, manzil mujhe ...

"Ye"

Re: Bait Baazi - August 2010

Ye mat pooch k mere sabr ki inteha kaha tak hai
tu kar le sitam teri takat jaha tak hai,
wafa ki ummeed jinhe hogi unhe hogi
mujhe dekhna ye hai k tu bewafa kaha tak hai..

"yeh"

Re: Bait Baazi - August 2010

***Yaadoon se jurr kar yaad aatay ho aap
Yaad aa kar yaad ban jaatay ho aap
Yaadoon hi yaadoon mein har jagah nazar aatay ho aap
Kyon yaad ko bhi yaadgaar banaa jaatay ho aap ...


"Pay"

Re: Bait Baazi - August 2010

pathar mujhe kehta ha mera chahney wala...
main moom hun us ne muje choo kar nai dkha

"alif"

Re: Bait Baazi - August 2010

Apna zamaana aap banaatay hain ehl-e-dil
Yeh woh nahe hain ke jin ko zamaana bana gaya ...

"Alif"

Re: Bait Baazi - August 2010

alfaaz gira detey hain jazbat ki qeemat..
jazbaat ko lafzoon main na dhala kro wasi

"yeh"

Re: Bait Baazi - August 2010

***Yeh nikhaton ki naram ravi yeh hawa yeh raat
Yaad aa rahe hain ishq ke toote taa'luqaat
Mayoseyoon ki goud mein dam torta hai ishq
Ab bhi koi bana le tau bigarti nahe hai baat ...


"Tay"

Re: Bait Baazi - August 2010

tapty hoe sehra se jo bin barsy guzr jaye mohsin
aisi bhe naa maghroor koi sawan ki ghata hoo..

"wow"

Re: Bait Baazi - August 2010

Woh aaye ghar mein hamaaray Khuda ki qudrat hai
Kabhi hum un ko kabhi apne ghar ko dekhtay hain ...

"Noon"

Re: Bait Baazi - August 2010

:k:

Re: Bait Baazi - August 2010

thanks Neha

Re: Bait Baazi - August 2010

nasha pila k girana to sab ko aata hai,
maza to jab hai ki girton ko tham le saqi.

"yeh"

Re: Bait Baazi - August 2010

:lajawab:

Re: Bait Baazi - August 2010

Yeh lamha bhi muhabbat mein khush-gawaar raha
Ulajhna tum se ... Tumhaari hi aarzoo karna ...

"Alif"