Yeh Dua Hai Teri Zindagi Sanwar Jaye
Har Nazar Mein Bus Pyar Nazar Aaye
Tujhe Jis Khushi Ki Talaash Hai
Khuda Karey
Woh Khushi Khud Teri Talaash Mein Chali Aaye.
Yeh ishq bhi kya hai, issay apnaaye koi aur
Chaahoon mein kisi aur ko yaad aaye koi aur
Us shaks ki mehfil kabhi barpa ho tau dekho
Ho zikar kisi aur ka ... sharmaaye koi aur ...
Yeh aarzoo thee ke aisa bhi kuch huwa hota
Meri kami ne tujhe bhi rula diya hota
Mein laut aata teri simt ek lamhay mein
Tere laboon ne mera naam tau lia hota ...
Ae dost teri kabh nakaam tamanna na ho Jis mein rahe udaas tu aisa koi lamha na ho Jo aarzoo ho teri voho tera naseeb ho tu dil se jis ko maang le..pal mein tere qareeb hoon
Na Kisi se Pyar Karu
Na Kisi ke Pyar Ke Kabil Banu
Na Kisi se Dil Lagau
Na Kisi ka Dil Thodu
Na Kisi pe Aitbar Karu
Na Kisi ka Intezar
**Sabko Chorneka Mann Karta Hai
Sabse Kahi Dur Jaaneka Mann Karta Hai
Raat ghehri thee dar bhi saktay thay
Hum jo kehtay thay woh kar bhi saktay thay
Woh jo bichray tau yeh bhi nahe socha
Hum tau pagal thay mar bhi saktay thay ...
Yeh aur baat ke hum tujhse rahay waabasta
Magar humein na kaha apna meharbaan tum ne
Karega zikar zamaana baray taqaddus se
Woh silsila jo kabhi muyassir nahe kiya tum ne ...
***Yaadain haseen tau hoti hain per tarpaati bahut hain
Yaar ki judai mein yeh dil ko rulaati bahut hain
Aanso'oun se hum us ki judai seh laitay hain magar
Kya karain dil ko us ki yaad sataati bahut hai ...