Bait Baazi - August 2010

Re: Bait Baazi - August 2010

Yeh masoomeyyat ka kaunsa andaaz hai 'Faraz'
Par kaat ke kehne lage ab tum azaad ho ...

"Wao"

Re: Bait Baazi - August 2010

**Woh tera ghum tha k taseer meray lahjay ki
K jis ko haal sunatay usay rula daitay

**

Re: Bait Baazi - August 2010

Yahaan se kaheen le chal khayaal-e-yaar mujhe
Chamman mein raas na ayegi yeh bahaar mujhe ...

"Ye"

Re: Bait Baazi - August 2010

*Yeh Kaisa Dard Hai Pal Pal Hamain Tarpaye Rakhta Hai
Tumhari Yaad Aati Hai To Phir Sou Bhi Nahi Sakte *

*Kaha To Tha Chorr Denge Yeh Nagar Phir Ruk Gaye Lekin
Tumhain Paa To Nahi Sakte Magar Kho Bhi Nahi Sakte *

Re: Bait Baazi - August 2010

buhat khoob mashallah aap tu shairi main bhi achi hain

Re: Bait Baazi - August 2010

Shairi mojay bahut pasand hai

Re: Bait Baazi - August 2010

Yeh hum se kis ne lahu ka khiraaj phir maanga
Abhi tau soye thay maqtal ko surkhuro kar ke ...

"Ye"

Re: Bait Baazi - August 2010

buhat khoob amber

Re: Bait Baazi - August 2010

ye theek hai nahi marta koi judaai main
khuda kisi ko kisi se magar juda na karey

Re: Bait Baazi - August 2010

Yun dekhtay rehna ussay acha nahe 'Mohsin'
Woh kaanch ka paikar hai tau patthar teri aankhain ...

"Noon"

Re: Bait Baazi - August 2010

**na dhoondh pay kabhi apna gher kitaboon may
guzar gaay uonhi sham-o-saher kitabon may
teray milnay ki umed nahi per na janay kiun
saja laitay hon rooz eik naya gulab kitabon may

**

Re: Bait Baazi - August 2010

Yehi asool hai sarmaaya-e-sukoon-e-hayaat
Gadaaye gosha-nasheeni tau haafza makrosh ...

"Sheen"

Re: Bait Baazi - August 2010

*shair oron ke to bohat hein zamaney ke liye
tu miley to mein tujhey shair sunaoon apney
*

Re: Bait Baazi - August 2010

Yeh kis sakoot ke sehra mein qaid hain hum log
Ke zindagi ki kaheen door tak sada bhi nahe ...

"Noon"

Re: Bait Baazi - August 2010

na mang aik bhi lamha khushi ka duniya se
**
**yeh qarz woh hai jise umar bhar utaare ga

Re: Bait Baazi - August 2010


Itni arzaan tau na thee dard ki daulat pehlay
Jis taraf jaaeyay zakhmoon ke lagay hain anbaar ...***

"Ray"

Re: Bait Baazi - August 2010

**Roya kuch iss tarah se mere shaaney se lag ke wo..
Esa Laga ke jese kaBHi Be-wafa na tha..

**

Re: Bait Baazi - August 2010

Ab kisi taur se ghar jaane ki surat hi nahe
Raastay mere leye hogaye dal-dal ki tarah ...

"Hay"

Re: Bait Baazi - August 2010

*Hamen likh kar kisi lamhay kahin Mehfooz kar lo tum
Tumhari Yaad se dekho Nikaltay ja rahay hen hum....... *

Re: Bait Baazi - August 2010

Maujizza yeh bhi muhabbat kabhi dikhaaye mujhe
Ke sang tujh pe girray aur zakhm aaye mujhe ...

"Ye"