Bait Baazi - August 2010

Re: Bait Baazi - August 2010

Yeh shehar dhundlay manzar mein mubtala kyon hai
Khulti hai aankh tau neendoon ka silsila kyon hai
Kisi ke paas bhi chehra nahe magar phir bhi
Har ek shaks ke haathoon mein aaenaa kyon hai ...

"Ye"

Re: Bait Baazi - August 2010

Ye Ghazi ye tere pur'israar banday
jinhain tu ne bakhsha hai zoq-e-khudai

Dou neem inki thokar main sehra-o-darya
simat kar pahaar inki haibat se ra'ee

'Ye'

Re: Bait Baazi - August 2010

yeh dill bht udaas ha jub se khabar hoe..!!
miltey han wo khaloos se hr shakhs ka sath

"hey"

Re: Bait Baazi - August 2010

Hum ne yeh dua jab bhi maangi taqdeer badal de Ay Maalik
Awaaz aayee ke ab hum ne taqdeer badalna chor diya ...

"Alif"

Re: Bait Baazi - August 2010

Ufaq ko ufaq sey milaa dayne waalay...
ye rastay hain kitne thaka dayne walay
bitaa dayna umrein ussay khojne mein
jo mill jaye usko ganwaa dayne waalay

Yeh

Re: Bait Baazi - August 2010

Yehi dil thaa tarasta thaa maraasim ke leye
Aur ab yehi dil hai jo na milne ke bahaanay dhoonday

"Ye"

Re: Bait Baazi - August 2010

Yeh kis ke sog mein shoridaa haal phirrtaa hon
wo kaun shakhs tha aisa k mar gaya mujh mein

Noon

Re: Bait Baazi - August 2010

Na meray qalam say likhi gaii na meri zabaN say ada hoi
Jo nazer say kehnay ki baat hai wo harf maiN na sama'ay gi
Koi phool chunta hai kis trha, koi dhool hota hai kis trha
Yay waqt waqt ki baat hai tujhay zindgi bata'ay gi

" Yay "

Re: Bait Baazi - August 2010

Yay wagt kis ki raonat pay khaak daal gaya
yay kan bol raha tha khuda kay lehjay main.

                                                                 " Nun"

Re: Bait Baazi - August 2010

Naa pooch apni taraf seyy lautne kaa amalll..
k main pahar tha simta to musht-e-khaak huva

Alif

Re: Bait Baazi - August 2010

Is ishq mein dil ko khona hai, matam karna hai rona hai
Mein jaanta hon jo hona hai per kya karun jab dil ajaaye ...

"Ye"

Re: Bait Baazi - August 2010

yun hi besabab na phira karo, koi shaam ghar bhi raha karo
vo Gazal kii sachchii kitab hai,use chupke chupke parha karo

wow

Re: Bait Baazi - August 2010

Waapsi ka koi sawaal hi nahe
Ghar se nikle hain aanso'oun ki tarah ...

"Hay"

Re: Bait Baazi - August 2010

Humko maloom hai Jannat ki haqeqat lekin
Dil k behlane ko Ghalib ye Khayal Accha hai !

"yeh"</O:p

Re: Bait Baazi - August 2010

Yeh qadam qadam ki hudoo kya mere sath sath chala karo
Yeh meharbaani ke jo lafz hain unhain tum na mujh se kaha karo ...

"Wao"

Re: Bait Baazi - August 2010

Wo na samjhay hain,na samjhain gay mairi baat
Day unko dil aur,jo na day mujhko zubaan aur. .

rey<O:p</O:p

Re: Bait Baazi - August 2010

Raahoon mein hi milay thay hum raahain naseeb ban gaeen
Tu bhi na apne ghar gaya hum bhi na apne ghar gaye ...

"Ye"

Re: Bait Baazi - August 2010

Yun phir raha hai kaanch ka paiker liyey huwey
ghafil ko gumaan hai keh pather nahin aaey ga

"alif"

Re: Bait Baazi - August 2010

Ab kisi aur ke shanoo pe hai tera aanchal
Log toofaan utha denge mere sath na chal ...

"Laam"

Re: Bait Baazi - August 2010

Lehjay sae uth rahi thi har ik dard ki dastan
Chehra bata raha tha sub kuch ganwa dia,

Awaz mein thehrao tha ankhon mein nami thi
Aur keh raha tha k mein ne sab kuch bhula diya,

"alif"