Bait Baazi - August 2010

Re: Bait Baazi - August 2010

***Woh ghazal waloon ka asloob samajhtay honge
Chaand kehtay hain kissay khoob samajhtay honge
Itni milti hai meri ghazloon se surat teri
Log tujh ko mera mehboob samajhtay honge ...


"Ye"

Re: Bait Baazi - August 2010

YA RAB JO EK PAL UNKA TARANNUM NAHI HOTA
LAGTA HAI SOGVAR TERI KAINAAT HAI TAMAM...

"meem"

Re: Bait Baazi - August 2010

Mein barsoon se sawaloon ki uljhanoon mein hoon
Meri zindagi ki uljhanoon ko aa kar suljha do ...

"Wao"

Re: Bait Baazi - August 2010

wo terey paas se chup chap guzr gea kaisey??
dil-e-baitaab qayamat kyun na utha di tu ney?

"yeh"

Re: Bait Baazi - August 2010

Yeh udaseyoon ka mausam kaheen rayegaan na jaaye
Kisi zakham ko koreedo kisi dard ko jagaoo ...

"Wao"

Re: Bait Baazi - August 2010

woh shakhs miley tuu usey her baat batana...!!
tm isharaon he isharon main mera zike mt karna

"alif"

Re: Bait Baazi - August 2010

Is raah-e-muhabbat mein tu saath agar hota
Har gham pe gul khiltay khushboo ka safar hota ...

"Alif"

Re: Bait Baazi - August 2010

ab nazah ka aalim taari ha,tm apni muhabat wapis lo
jab kashtii dobney lagtii ha,tu bhoj utara kartey hain

"noon"

Re: Bait Baazi - August 2010

Na sawal ban ke mila kar na jawab ban ke mila karo
Meri zindagi mere khwab hain mujhe khwab ban ke mila karo ...

"Wao"

Re: Bait Baazi - August 2010

**
wafaa ke shiish mahal mein sajaa liya mai ney
woh ek dil jise pathar banaa liya mai ney**

"Yeh"

Re: Bait Baazi - August 2010

**Yeh zindagi hai bas koi dam ki mehmaan logoo
Mere wujood se woh nikla hai saaya ban kar ... *
*

"Ray"

*raaz-e-ulfat chupa ke dekh liya
dil bauhat kuchh jalaa ke dekh liya
*

** aur kya dekhane ko baaqi hai
aap se dil laga ke dekh liya

"Alif"
**

Re: Bait Baazi - August 2010

Apni poshaak k chhin jaane pe afsos na kar
Sar salaamat nahi rehte yahan dastaar k beech ...

"Hay"

Hawaadis Mein Ulajh Kar Muskuraana Meri Fitrat Hai
Mujhe Nakaamiyo'n Par Ashk Barsaana Nahi Aata

"Alif"

Re: Bait Baazi - August 2010

Aankhoon mein nami aati hi nahe hontoon se hansi jaati hi nahe
Ay wakt pallat kar dekh ke mein tasveer mein kitna zinda hoon
Aangan mein gum-sum baitha hoon be-asbaabi ka runj leye
San'naata batain karta hai mujhse ke mein goya zinda hoon ...

"Noon"

Re: Bait Baazi - August 2010

na rang-o-roop ki terhna na khad-o-khaal ki terha
wo meray mann mein aa basa kisi malaal ki terha
main raasta hoon aur tumhari yaad qaafla hai jo
guzar rahi hai mujh se meray maah-o-saal ki terha

"hay"

Re: Bait Baazi - August 2010

Huwa hai tujh se bicharne ke baad yeh maloom
Ke tu nahe thaa tere saath aik duniya thee ...

"Ye"

Re: Bait Baazi - August 2010

ye khizan ki zard si shaam main,jo udaas perh kay paas hai
ye tumhare ghar ki bahaar hai ,isse ansoouon se hara karo...

"wow"

Re: Bait Baazi - August 2010

Woh jis ki khatir zamane bhar ko tum bana rahe ho dushma
Wohi na apna agar huwa tau muhabbatton ka pata chaley ga
Badal badal kar abhi tau chehra mayaar apna bana rahe ho
Koi na hadd-e-nazar huwa tau muhabbatton ka pata chaley ga ...

"Alif"

Re: Bait Baazi - August 2010

un ki ankhon ko kabhi ghor se dekha ha faraz
soney waloon ki tarah, jagney walon jaiisi....

"yeh"