Bait Baazi - August 2010

Re: Bait Baazi - August 2010

Aaj ki raat mumkin nahe hai sona yaaroon
Yaad phir wohi aae hai neend uraanay waali ...

"Ye"

Re: Bait Baazi - August 2010

yeh adaab bhi hamare hain tumhen kiya maloom...
hum tumhen jeet k bhi hare hain tumhen kiya maloom

"meem"

Re: Bait Baazi - August 2010

Marnay ke baad bhi aankhain khuli raheen meri
Aadat jo par gaee thee tere intezaar ki ...

"Ye"

Re: Bait Baazi - August 2010

ye jannat mubarak rahey zahidon ko.....
ki mein apka saamna chahta hun........

"noon"

Re: Bait Baazi - August 2010

**Na kar nahe nahe yeh wakt nahe nahe ka
Teri is nahe nahe ne mujhe chora nahe kaheen ka ... *
*

"Alif"

Re: Bait Baazi - August 2010

Abhi na chair muhabbat ke geet aey mutrib
abhi hayat ka mahool khushgawar nahin..

"noon"

Re: Bait Baazi - August 2010

Nahe asaan kuch abaad karna ghar muhabbat ka
Yeh un ka kaam hai jo zindagi barbaad kartay hain ...

"Noon"

Re: Bait Baazi - August 2010

Na ganwaoo nao kay neem kash dil-e-raiza raiza ganwaa dia
jo bachay hain sang samait lo tan-e-dagh dagh luta dia..

"alif"

Re: Bait Baazi - August 2010

Aur kuch bhi nahe maanga mere Maalik tujh se
Un ki galeyoon mein pari khaak bana de mujh ko ...

"Wao"

Re: Bait Baazi - August 2010

vahii qaafiley vahii raastey vahii zindagi vahi marhaley
magr apne apne muqam pr kbhi tm nahin kbhi hm nahin

"noon"

Re: Bait Baazi - August 2010

Nigahain tum ko hi hain dhondati har pel mere hamraaz
Tanha hum bhi nahe rehtay subha ho shaam ho ya ho raat ...

"Tay"

Re: Bait Baazi - August 2010

tu ha soraj tujhe maloom kahan raat ka dukh..
tu kisi rooz uttar mery ghar main shaam ka bhd
"daal"

Re: Bait Baazi - August 2010

Dil hi nahe tau dil ke saharoon ko kya karun
Jab paas tum nahe tau bahaaroon ko kya karun ...

"Noon"

Re: Bait Baazi - August 2010

nabeena jhanam letey ha us qoom ka bachey...
ju qoom dya karti ha tawaan ma aakhein......

"noon"<O:p</O:p

Re: Bait Baazi - August 2010

Nazar se pyaas bhujaanay ka hausla na huwa
Milay tau lab bhi hilaanay ka hausla na huwa
Pukaarti rahi dooooooor tak ussay nazrain
Magar zubaan se bulaanay ka hausla na huwa ...

"Alif"

Re: Bait Baazi - August 2010

ab tak dil-e-khushfaham ko tujh se hain ummiiden
ye aakhrii shammen bhii bujhaane ke liye aa..

"alif"

Re: Bait Baazi - August 2010

Anokhi wazah hai sare zamaanay se niralay hain
Yeh aashiq kaun si basti ke Ya Rab rehnay waalay hain ...

"Noon"

Re: Bait Baazi - August 2010

Nigah-e-fiqr mein shaan-e-sikandari kia hai
khiraaj ki jo gida ho wo qaissrii kiaa haii...
kisse nahin hai tammana-e-sarwari laikinn
khudi ki maut ho jis mein wo sarwari kia hai

Yeh

Re: Bait Baazi - August 2010

Yeh socha thaa teri khaatir kaae motti nikalunga
Mein jis rastay mein thaa is mein samundar hi nahe aata ...

"Alif"

Re: Bait Baazi - August 2010

ISI AHTIYAT MIEN WO RAHA ISI AHTIYAT MIE MIEN RAHI....
WO KAHA KAHA MERY SATH HAY KISI OR KO YE PATA NA HO

"wow"