Bait Baazi — Jan. 2007

Re: Bait Baazi — Jan. 2007

*Us sey ik baar to rootthooN meiN uski maanind
aur meri tarha sey wo mujh ko manaaney aaey
*

"Ye"

Re: Bait Baazi — Jan. 2007

Yeh gham joh iss raat nay diya hai
Yeh gham sehar ka yakeen bana hai
yakeen jo ghum say kareem tar hai
sehar jo shub say azeem tar hai

Alif

Re: Bait Baazi — Jan. 2007

ik na ik din paish hoga tu fana ke saamney
chal nahi sakti kissi ki kuch qaza ke samne

ye

Re: Bait Baazi — Jan. 2007

apne ghar ki aap raunaq giriya-o-zaari ke waqt
apne ghar ka aap sannata hoon chillane ke bad

daal

Re: Bait Baazi — Jan. 2007

app samajtay hain hum ne appko bhula rakha hai
lakin hum ne appko dil meikn basa rakha hai
dhek na le appko kio humari ankhoon mein
is liya palkoon ko jhuka rakha hai
next word is (alif)

Re: Bait Baazi — Jan. 2007

Udassi beechee hai bari door tuk
baharon kee beti parai howee
bhari dopahar mein khila phool hai
pasinay mein larki nahai howee

YE

Re: Bait Baazi — Jan. 2007

yeh ankhain aor kia dekhain kisi ko
in ankhon ne tujhe dekha bohat hey

yeh

Re: Bait Baazi — Jan. 2007

Yeh chehra kitabi raha samanay
baree khubsurat parhai howee

yeh

Re: Bait Baazi — Jan. 2007

yeh arzoo thi keh tujhe gull ke roobaroo karte
hum or bulbul`e betaab gooftagoo karte

ye

Re: Bait Baazi — Jan. 2007

Ya to har shakhs tazkara karey tera
ya koi bhi hum say guftaguu na karey

Re: Bait Baazi — Jan. 2007

yeh dua he ka tah mojza ke asa
sahiron ke muqabil bana azdaha

alif

Re: Bait Baazi — Jan. 2007

**
Ay kaash mujh mein quwwat`e purwaaz ho tu mein
Orhta howa barhoon teri jaaneb sooway harum
**:~)

Re: Bait Baazi — Jan. 2007

mubada ajnabi dunya ki zulmat gher lay tujh ko
meri jaa.N ab bhi apna husan wapis pher day mujh ko

Faiz Ahmad Faiz

Wa'o

Re: Bait Baazi — Jan. 2007

**wo sharmaey baithe haiN gardan jhukaaey **
ghazab ho gaya ek nazar deikh leina

%between%

Re: Bait Baazi — Jan. 2007

Eik dil ka dard tha kay raha zindagi kay saath
eik dard kee dawa thee kay sadaa doondatay rahay

Ye

Re: Bait Baazi — Jan. 2007

yadon sey rishta kal bhi tha yadon se rishta ajj bhi hey
dil kal bhi apna dukhta tha aur afsurda sa ajj bhi hey
wuh saahil wuh geeli matti, mati ke gharondey saahil par
wuh naam darakhton par likhna wuh khaab suhana ajj bhi hey

Re: Bait Baazi — Jan. 2007

younhey basabab na phera kro koi sham ghar bhi raha kro
yai ghazal ki schi ketab hai usai chup kay chup kay phra kro

Re: Bait Baazi — Jan. 2007

wuhi be-kali wuh bebasi, wuhi bandishein wuhi chahtein
mein abhi talak na samajh saka tu naseeb hey ke nisaab hey

Re: Bait Baazi — Jan. 2007

*ye har waqt ka hansana berbad na karde tujhe
tanhai ke lamhon mey kabhi ro bhi lia kar *
<!--IBF.ATTACHMENT_1601392-->

Re: Bait Baazi — Jan. 2007

Beautiful Kanzah :k:


**
Rah meiN chaltey huwey kisi bad’naseeb ka khat milaa
kaheiN khoon sey likha huwa kaheiN aansuoN sey mita hua
**
“Alif”