Bait Baazi — Jan. 2007

Re: Bait Baazi — Jan. 2007

raha na dil main wo bay dard aur dard raha
makeen kaun howa hay makaan kis ka tha

Dagh Dehalwi

Alif

Re: Bait Baazi — Jan. 2007

har waqat ka hansna tujhay barbaad na kar day
tanha'i kay lamhon main kabhi ro bhi lya kar

Re: Bait Baazi — Jan. 2007

Rastay pay umar kee meera paoon phisal gaya
eik aur saal phir meray hatoon nikal gaya

Re: Bait Baazi — Jan. 2007

iss liyee bhi raat ko ghar sey nikal ata hoon mein
sardiyon ke chaand ko ehsaas-e-tanhaai na ho

Re: Bait Baazi — Jan. 2007


wo baat ker jisay dunyia bhi motbar samjhay
tujhay khabar nahi zamana badalta jata hai

Re: Bait Baazi — Jan. 2007


yaad karnay kay siwa ab kar bhi kya saktay hain
bhool janay mai tujhay nakaam hojanay kay badh

H or Hay

Re: Bait Baazi — Jan. 2007

^ i think next word is ''daal''

Daai'm paRa hua terey dar par nahi hun mein
khaak aesi zindagi par ke pathar nahin hun mein

Re: Bait Baazi — Jan. 2007

*na sahi kuch magar itna tou kya kartay thay *
*wo mujhay dekh kay pehchan lya kartay thay *

Shahzad Ahmad

ye

Re: Bait Baazi — Jan. 2007

Ye terey khat, teri khushbu, terey khaab-o-khayal
mataa-e-jaan hein terey qol aur qasam ki tarah
guzashta saal mein ne inhen gin ke rakha tha
kisii ghareeb ki joRii huii raqam kii tarahh

Re: Bait Baazi — Jan. 2007

Her taref fiker ko dora ke thakaya humne
koie deen deen`e Mohammad sa na paya humne

Re: Bait Baazi — Jan. 2007

yeh hai acha hai keh apas ke bharam na tootne pain
kabhi bhi doston ko azma ker kuch nahi milta

Alif

Re: Bait Baazi — Jan. 2007


inhi pathroo'n par chal kar gar asako to ao'o
mery ghar kay rastay mai koi kehkisha'n nahi hai

ye

Re: Bait Baazi — Jan. 2007

yaad karnay ke siwa ab kar bhi kya saktay hain
bhool janay mein tujhay nakaam ho janay ke baadh

Re: Bait Baazi — Jan. 2007


dil say rukhsat huwi khwahish
girya kuch besabab nahi ata

alif

Re: Bait Baazi — Jan. 2007


aaj us nay dukhh bhi apnay alehda kar liye
aaj maiN roya to meray sath wo roya na tha

Re: Bait Baazi — Jan. 2007


ab is kay siwa yaad nahi jashn-e-mulagat
ek matami jugnu meri palkoo'n par saja tha

Re: Bait Baazi — Jan. 2007


apnay ehsas say chooker mujay sandal kardu
main k sadion say adhoora hun mujay mukamal kardu

waoo

Re: Bait Baazi — Jan. 2007

woh chand lamhay jo guzray teri rigaqa't mai na janay kitnay baras meray kaam ayegay

uff phri say ye :mad:

Re: Bait Baazi — Jan. 2007


ye zaroori to nahi har baat bataye jaye
ap nazaroon ki zuban bhi to samjhtay hogay

:p
ye

Re: Bait Baazi — Jan. 2007

yeh masael`e taswaof yeh tera biyan Ghalib
tujhe hum wali samjhte jo na badah khuwar hota

alif