~~ASN kay Hakeemi Mashwaray ~~ Gadhay kay Falsafiyaana Nuskhay~~

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/blush.gif

ab aap aa gaaien hain tau kuch ifaaqa mehsoos hota hay…

ISS kambakht ASn ko tau bhaar main daliyeh.. app he kuch dawa kijiyeh… iss marz kee…
halat kuch aisi hay kay:

Marz barrhta gayaa joon joon dawa kee

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/teary3.gif

[QUOTE]
Originally posted by Gadha:
**

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/blush.gif

ab aap aa gaaien hain tau kuch ifaaqa mehsoos hota hay…**

acha waqae

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/blush.gif

**ISS kambakht ASn ko tau bhaar main daliyeh.. app he kuch dawa kijiyeh… iss marz kee…
halat kuch aisi hay kay:
Marz barrhta gayaa joon joon dawa kee

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/teary3.gif

**

ASN akhir kahan hain app gadhay ko app ki shiddat sae zaroorat thi magar ab nahin kiyon kae pehlae tabiyat nasaz thi likin ab…
yae to woahi baat howi na kae zaroorat kae waqt gadhay ko bhi baap banana perta hai

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/tongue.gif

ASN ko bharkanae wala icon


~~~~~ ~~~~~
Zara yeh to bataao
Tum ne mujh say ziada zindagi ki
Baharain daikhee hain
Dunya ke nashaib-o-faraz say bakhoobi waqif ho
Yeh dunya itni zalim
Khudgharz aur behiss kyon hai?
Jis main tum bhi shamil ho :~(
~~~~~ ~~~~~

[This message has been edited by khubsoorat khoab (edited February 25, 2002).]

Batay nicker! dekh loonga tujhay

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/frown.gif

nalaaiq, namaqool kahin ka

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smash.gif


Kahan kay Ishq-O-Mohabbat, kahan kay hijr-O-visaal
Abhee tau loug tarastay hain zindagi kay liyeh…

~Dehnchu Dehnchu~ ¤Representing Group of Gadha§ in Religion Forum¤

Oho! Juwoon ki bhi koi dawa ki ke nahin? :worried hone wala icon:

May i suggest English Antilice Lotion. Juwwon ke liay sare-ul-asar dehaant aur Gadhon ke liay mukammal tor par bezarar!

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/hehe.gif


Kambakht Ishq!

u know what, these two songs suit BEST for the washroom business!!! wink to Faizi pa ji

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/biggrin.gif


ń!ģäĥ ķò nážaŗâŷ ķ! ŧämãńņâ ĥäí
đïļ ķó şőďâ ĥäí ĵuśŧ’ĵû ķã

HAHAHAHAHA LOL OMG.

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/hehe.gif

is ko daikh kar to maray dimagh main bhe yehi khayal aya..the one and only “washroom”..
waisay khanzada keh is experience keh baray mian app ka kya khayal hai

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/hehe.gif


<::~Is thaT all You got? ::~I’ll Take youR best Shot~::>

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/biggrin.gif

woh bhi iss tehesh say guzartay rehtay hain, regularly. par kuch din pehlay Allah nay apni rehmat farmayi aur teen chaar din unhain ganay nahi ganay paray

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/biggrin.gif

chup kar kay khamoshi say kaam ho jata tha!!
lekin jaisa kay england say aanay kay baad settle hain to ab normal routine shuru ho gayi ho gi ab tak!!
Allah apnay choozon par apni total rehmat farmaye, summ Aameen!!

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/biggrin.gif


ń!ģäĥ ķò nážaŗâŷ ķ! ŧämãńņâ ĥäí
đïļ ķó şőďâ ĥäí ĵuśŧ’ĵû ķã

[quote]
Originally posted by Gadha:
~~~Bazeecha-e-Atfaal hay dunya maray aagay~~~

pata nahin mundraja baala misra main nay kioun aur kiss wajah-e-takhmeeah say safha-e-qirtaas per raqam karnay ki jurrat kee hay????... Laikin ab jub kehh hee diaa hay tau app nay suun bhee lia hay....

*
Maray aziz!
kia hay tu Tariq Aziz?
tu kharra door hay
woh ibn-e-batoota ka bhoot hay
ayaa hoon barri door say
ghistaa huaa joota
main ibn-e-batoota
main ibn-e-batoota
*

Zamana-e-haazir kay maray ham asr Hakeem Boo Ali Ibn-e-Seena yaani Nicker tau hay paass per shalwaar bhee lay laina!

Aapp ka shora-e-afaaq nuskha-e-keemia az silsila-e-seena ba seena intehaiee kaargar saabit huaa.. aur iss charind-e-bay zubbaan kee akloti zubaan apnay khaliq-e-haqeeqi say milnay ki tammana dil may lay ker reh gaiee kiounkay rooh qafs-e-unsari say perwaaz na kar sakki... (waaziah rahay kay Gadha intehaaie safaie passand makhlooq hay kiounkay yeh apni issi wahid zubaan say apni naak kay mehz do (2) nathnoun main saffaie kaa kaam waqtan fa waqtan ba khoobee sir anjaam deta rehta hay).

laikin ab haalat yeh hay kay:

*Qabz tau jaata rahaa per
Qabz ki shikayat naa gaiee
*

Iss qabz ki itni aadat si parr gayyie thee kay ab iss kay baghair khud ko bay hud tanhaa aur akaila aur tabiat ko apni gham naak-o-alam naak-o-tarab naak sa mehsos karta hoon....

Umeed wasiq hay kay jald hee moujooda halat kee aadat bhee ba assaani parr jaannay kay qavi imkaan hay...

Ab masa'la yeh darpaish hay Hakeem-e-Ana'am kay shoomi-e-qismat say iss nazr-e-bad laggay Gadhay ko *Jullab lag chukay hain...*

aur ab sirf itna thorra hee likh paayaa hoon kay zarrorat kay teht muamla-e-jood-o-jafa ko munqata kiay baghair koie chaara dikhaaie nahin detaaa....

tau phir ijaazat dijiyeh....

Logoun ko hansaanay kay gham main tarrapta hua kaaienaat ka wahid Gadha

Hum bhee moonh main *zubaan rakhtay hain
kaash poocho kay mudd'da'aa kia hay?
*
[/quote]

message of the month

just month

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/frown.gif

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/teary3.gif


Kahan kay Ishq-O-Mohabbat, kahan kay hijr-O-visaal
Abhee tau loug tarastay hain zindagi kay liyeh…

~Dehnchu Dehnchu~ ¤Representing Group of Gadha§ in Religion Forum¤

Destinee aur Kukri:…sudhar jao forun. Shabaash!

Destinee:

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/biggrin.gif

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif


Kambakht Ishq!

Destinee hehe bahut shukria problem clear karnay ka woh bhe evidence ke saath. lekin kuch pata nahi honay ko to dubara kuch bhe ho sakta haina

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/hehe.gif

khanzadamain itni asani se sudharnay wali nahi hoon bara time laiti hoon.

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/biggrin.gif


<::~Is thaT all You got? ::~I’ll Take youR best Shot~::>

[This message has been edited by sohni_kuri (edited April 05, 2002).]

**Kukri: **Acha…i need proof!

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/hehe.gif


Kambakht Ishq!

really…proof ki zaroorat kya hain main khud jo keh rahi hoon

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/hehe.gif


<::~Is thaT all You got? ::~I’ll Take youR best Shot~::>

ahh

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/frown.gif

i miss my urdu

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/crying.gif

oh khudaya…yeh thread kahan se nikal laye???>..

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/eek.gif


The only Difference between me and a madman is that I m not mad

aah…I miss ASN

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/hehe.gif

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/tongue.gif

yeh wohi purani wali post hai yah phir issey dubara upper laya gaya hai?


I wish u were here
To hold my Hand
Whenever I get lonely

read your post again{

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/biggrin.gif

}

kambakht!:mad: tujhay hansii aa rahi hay:crying:?